
Abhi jeeney de
Aey gham-e-hayaat
Abhi palkon se jurray hain kuch khawab mery
Abhi dhoundna hay khud ko baqi
Saray rastay hain sarab mery
Abhi tishna houn
Muhabbat k sagar mein behney de
Goyaii chin gayii kab se
Kuch kehna chahta houn kehney de
Abhi aas-o-ummeed ne dam nahi torra
Kisi mojzey ki aur
Dekhta rehta houn
Jo houna hay vo to hoga
Yunhi qismat ki lakeeron se
Ulajhta rehta houn
Koi mojza koi jaduu
Koi sehar to kar de
Khushion se mera
Daman to bhar de
Thak gaya houn
Chalty chalty tery saath
Abhi jeeney de
Aey gham-e-hayaat. ..!!!
No comments:
Post a Comment