Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday, January 1, 2016

Jab bhi aati hain khayalon main tumhari aankhen


Jab bhi aati hain khayalon main tumhari aankhen,
Bheeg jati hain kisi ghum se hamari aankhen.

Dhal gai shaam andehre ne tani phir se apni chadar,
So gaien thak k tere hijjar ki maari aankhen.

Tum mere pass nahi phir bhi tumhara chehra,
Sochti rehti hain ye dard ki maari aankhen.

Silsila toot bhi sakta tha barsaat ka kabhi,
Thaam leti mere ashkon ko tumhari aankhen.

Hum isi aas pe aankhon ko khula rakhte hain,
Laut aain na kisi rooz tumhari aankhen.

Gaate gaate hamain ik shakhs ki yaad aati hai,
Bheeeg jaati hain ser-e-bazam hamari aankhen.

Jaane kya baat hai kyon dekhti rehti hain,

Meri aankhon ki taraf shehar ki saari aankhen

No comments:

Post a Comment