Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Wednesday, January 27, 2016

Hamari taraf sy salam unko dena

Hamari taraf sy salam unko dena
Aur keh dena qasid salam aakhri hai
Mulaqat hum sy na ab ho saky gi
Yeh beemar e gham ka payam aakhri hai

Sare sham tum kya juda ho rahy ho
Juda rooh goya ky hoti hai tan sy
Mujhy aisa maloom hota hai jaisy
Meri zindagi ki yeh sham aakhri hai

Jawani ky nashy main bad mast ho kar
Na chal tooti qabroun ko thukra ky zalim
Yehi mar ky ik roz ana hai sab ko
Yeh duniya main sab ka maqam aakhri hai

Houn teri inayat sy mehroom lekon
Dame naza e gham nai mjh ko saki
Jo toota hua hai meri sheesha e dil
Yehi meri qismat ka jaam aakhri hai

Sakoot e wafa kar raha houn mukammal
Dia tha jinhain mainy dil roz e awal
Unhain jaan b aaj deny chala houn

Muhabbat main purnum yeh sham aakhri hai

No comments:

Post a Comment