Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Wednesday, January 6, 2016

Aey mri ham raqs mujh ko thaam ly

Aey mri ham raqs mujh ko thaam ly !

Zindagi say bhag kar aaya houn main
Dar sar larzan houn, kahin aesa na ho
Raqs geh kay chor darwazay say aakar zindagi
Dhoundh lay mujh ko, nishan pa lay mra
Aur jurm aesh krtay dekh lay

Aey mri ham raqs mujh ko thaam ly !

Raqs ki ye gardishen
Aek mubham aasia kay daor mein
Kaisi sargarmi sy gham ko roondta jata houn main
Jee mein kehta houn keh han
Raqs geh mein zindagi kay jhanknay say paishtar
Kulfaton ka sanriza aek bhi rehnay na payay

Aey mri ham raqs mujh ko thaam ly

Zindagi meray liyay
Aek khouni bherdyay say kam nahin
Aey haseen o ajnabi aurat! Usi kay dar say main
Ho raha houn lamha lamha aur bhi teray qarib
Janta houn too meri jaan bhi nahin
Tujh say milnay ka phir imkan bhi nahin
Too mri un aarzoown ki magar tamseel hay
Jo rahin mujh say gurizan aaj tak

Aey mri ham raqs mujh ko thaam ly !

Ahd e piraan ka main insan nahin
Bandgi say is dar o diwar ki
Ho chuki hen khawahishen be sooz o rang o natawan
Jism say teray lipat sakta to houn
Zindagi par main jhapat sakta to houn
Is liyay ab tham lay
Aey haseen o ajnabi aurat !

Mujhay ab thaam ly…

No comments:

Post a Comment