Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday, January 8, 2016

Agar kisi kamzor lamhey mein



Agar kisi kamzor lamhey mein
Tum mujhsay rooth jao,

Aur mai tumsay khafa ho jao,
To ye mat samajhna kay,

Mai tumhay manaonga nahi,
Tum bas itna samajh lena kay,

Mai bhi tumsay rooth kar khush nahi houn,
Mai bhi tumsay dubara baat karna chahta houn,

Lekin phir bhi mai tumhay na manao,
Tau ye bhi samajh lena kay,

Mai uss haseen pal ka intzaar kar raha hounga,
Jab mai tumhay sabse dilnasheen dhang se mana saku,

Jaanta hu iss bich tumhay,
Thoda intzaar karwaonga mai,

Lekin kya karu uss intzaar kay baad,
Tere chehre pe jo khushi hogi,

Shayad wahi dekhne kay liye to,

Maine ye sab kiya hoga.....!

No comments:

Post a Comment