Chalo k hum tum nazar ki basti main piyaar apna basa k dekhain
Zamanay bhar ki kadoratoun ko muhabbatoun se mita k dekhain
Andheri rahon main ban k jugno dikhaaen rasta musafiroun ko
Har eak dil ko karain munawwar nazar nazar jagmaga k dekhain
Chopa hoa hai jo hasratoun main talaash es ki tumhain bhi ho
Gedoroun-e-dil jo aa gaey hain wo sare par de utha k dekhain
Agar muyassar hai chashm-e-bena tu wo nigahoun k saamnay hai
Jo zarray zarray main bas raha hai usay nigahain jhuka k dekhain
Wohi tu hai jo kamaal-e-fan se nizaam-e-duniya chala raha hai
Jo uski hasti ko dekhna ho wajoud-e-hasti main aa k dekain
Sama k soraj ki roushni main mitaaen duniya se teerge ko
Falak ki chadar pe ban k tare har ek shab jhilmila k dekhain
Ghubar-e-dil ko bana k badal zamen pe barsain tu piyaar ban kar
Naye shagoofoun ki aankh ban k chaman chaman muskura k dekhain
Wajood apna ho patharoun main tu naam apna ho laal-o-marjan
Kabhi samandar main ban k moti sadaf k dil main sama k dekhain
Kabhi tu dil se mita k nafrat muhabbatoun ki niyaaz baantain
Diye muhabbat k apny dil main kabhi tu Muzter jala k dekhain
No comments:
Post a Comment