December ky mahiny ka.
Wo shayad aakhri din tha
Wo shayad aakhri din tha
Baras guzre kai mainy
Muhabbat lafz likha tha
kisi kaghaz k tukre par
achanak yaad aaya hai
kisi se baat karni thi
usye kehna tha jaan-e-jaan
mujhe tum se Muhabbat hai
magar main keh nahi paya
wo khaghaz aaj tak lipta para hai
dhool me lekin
Kisi ko de nahi paya
doobara chah kar bhi main
Muhabbat kar nahi paya.

No comments:
Post a Comment