Houn gay juda hum es tarah, imkan tu na tha
Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha
Jesay howa hai ab k wo, halaat say mry
Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha
Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia
Ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha
Ek pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi
Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha
Mohsin hum ne ishq mein,paya naffa bahut
Is kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha
No comments:
Post a Comment