Khush thy kuch aisay teri rafaqat k shauq main
Manzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main
Nafrat hi pehr e daar mili har makaam par
Jis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main
Ham baargah e ishq main maqbool youn hue
Khud se bichar gaey teri qurbat k shauq main
Lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheer
Niklay thy ghar se ik musarrat k shauq main
Apny chaman se raabta bilkul nahi raha
Sehra norad ho gaey daulat k shauq main
Daaman main hasraton k siwa kuch nahi aey dost
Aisay lutay hain ham teri chahat k shauq main
No comments:
Post a Comment