Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Thursday, January 28, 2016

Main apni duaaon ka asar dekh raha houn

Main apni duaaon ka asar dekh raha houn
ghambheer andheron mein sahar dekh raha houn

dil ka sahar o shaam tarapna woh machalna
dekha nahi jaata hay magar dekh raha houn

ghabra k palat jaaon meray bus mein nahi hai
go samnay anjam e safar dekh raha houn

aankhoun mein idhar ashk udhar aag hay dil mein
barsaat mein jalta hoa ghar dekh raha houn

afsurda si lagti hay mujhay bazm e sukhan bhi
aazurda mein tum ko jo qamar dekh raha houn

No comments:

Post a Comment