
Ager kuchh naam daina ho ....
Mujhay insaan mat kehna .....
Judaa chehray, juda bay-shak sabhi ke kaam hotay hai'n ...
Magar insaaniyat ke abb yahaa'n per daam hotay hai'n ....
Mere tum daam mat dena .........
Mujhay ye naam mat daina .......
Agar kuchh naam daina ho ..
Mujhay ehsaas keh daina ............
Magar thehro! ..
Mujhay ehsaas mat kehnaa ..
Mera buss naam reh jaay mujhay aisay nahi'n rehnaa ..
Mujhay ehsaas mat kehnaa ..
Ager kuchh naam daina ho, mujhay saawan he keh daina ..
Magarr thehro....!
Mujhay saawan nahi'n kehnaa ..
Barasta hai magar rut ke badaltay beet jaata hai ..
Mujhay saawan nahi'n kehna ..
Ager kuchh naam daina ho, mujhay aansoo he keh daina ..
Janam laina kisi ki aankh mai'n, rukhsaar per marna ..
Yahi jis ki haqeeqat hai ..
Chalo aansoo he keh daina ..
Magar daikho ........
Kisi ki aankh mai'n mujh ko kabhi aanay nahi'n daina ..
Ke qeemat aansoo'on ki abb adaa tum se nahi'n ho gee ..
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehna ..
Mujhay aansoo nahi'n kehnaa ..
Mujhay aankho'n mai'n bastaa ik hasee'n sapnaa he keh daina ..
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n ..
Magar thehro.......! .
Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa..
Ke sapnay toot jaatay hai'n ..
Mujhay apnaa nahi'n kehna ..
Ke apnay rooth jaatay hai'n .....!!!!!!
No comments:
Post a Comment