Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Thursday, January 28, 2016

Phir kisi yaad nay raat bhar hay jagaya mujh ko

Phir kisi yaad nay raat bhar hay jagaya mujh ko
kiya saza di hay muhabbat nay khudaya mujh ko

din ko aaram hai na raat ko hay chain kabhi
janay kis khaak say kudrat nay banaya mujh ko

dukh to yeh hay k zamanay main milay ghair sabhi
jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

jab koi bhi na raha kandha mere ronay ko
ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

ab to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
phir charaghoun ki tarah kis nay jalaya mujh ko

bewafa zindagi nay jab chor diya hay tanha
maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko

woh diya houn jo muhabbat nay jalaya tha kabhi
gham ki andhi nay subah aur shaam bujhaya mujh ko

kaisay bhoolon ga tere saath guzare lamhay
yaad aata raha zulfoun ka hi saya mujh ko

No comments:

Post a Comment