Dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
Wohi andaz hai zalim ka zamane wala
Ab ise log samajhate hain giraftar mera
Sakht naadim hai mujhe daam mein lane wala
Kya kahen kitne marasim the hamare is se
Wo jo ik shakhs hai munh pher ke jane wala
Tere hote hue aa jati thi sari duniya
Aaj tanha houn to koi nahi aaney wala
Muntazir kis ka houn tooti hui dehleez pe main
Kon aayega yahan kon hai aane wala
Maine dekha hai baharon mein chaman ko jalte
Hai koi khwaab ki taabeer bataane wala
Kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
Hai wohi mujhko sar-e-daar bhi laane wala
Tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho faraz
Dost hota nahin har haath milane wala
No comments:
Post a Comment