Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain
Sach ye bhe hay sar paiy meray ilzaam bohat hain
Main dhoundta phirta hon jise kocha ba kocha
Iss naam k insaan yahan aam bohat hain
Ab chahnay saiy milti hay mohobat kahan
Aisay bazaar main iss shay k ab daam bohat hain
Taareef kron teri mohobat ke zaban main
Gulshan main teri khushboo ke iqsaam bohat hain
Laina hay mujhay kiya teri duniya-o-jahan se
Dil main teri yaadon k sobha shaam bohat hain
Jaanum teri duniya main nehi milti rafaaqat
K dau k siwa wasl k anjaam bohat hain
Na cheez naiy iss cheez ko kiya cheez haiy sumjha
Iss lafz-e-mohobat main aalaam bohat hain
Maayal haiy shaukat zindagi anjaam ke jaanib
Chal rukk k zara tou abhi inaam bohat hain
No comments:
Post a Comment