Yahi manzar thy anjaany se pehly
tumharay shehar main aany se pehly
zameen ki dharkanen pehchaan lena
koi dewaar banwaany se pehly
palat kar kiyon mjhy sab dekhtay hain
tumhaara zikar farmaany se pehly
na-jaany kitni aankhain muntazir theen
sitaaray baam par aany se pehly
dareechay band ho jaatay hain kitnay
yahaan manzar badal jaany se pehly
tumharay shehar main aany se pehly
zameen ki dharkanen pehchaan lena
koi dewaar banwaany se pehly
palat kar kiyon mjhy sab dekhtay hain
tumhaara zikar farmaany se pehly
na-jaany kitni aankhain muntazir theen
sitaaray baam par aany se pehly
dareechay band ho jaatay hain kitnay
yahaan manzar badal jaany se pehly
No comments:
Post a Comment