Beshak na mere saath safar ikhtiyar ker
Ae mere badguman mera aaitbar ker
Woh khud to titliyon ko liye ghoomta raha
Aur mujh ko khat mein likhta raha intezar ker
Ab in ke kaafley to kahin door ja chukey
Jin ki talab mein aaye the sehra guzar ker
Mein ne to tere hijar ka dukh jhail hi liya
Ab tu bhi khud ko waqf-e-rah intezar ker
Kab ho saki hai un ki samandar se dosti
Matti ke in gharondon pe kam inhesar ker
Fursat mile to dekh mere dil ke aainy
Aankhon se apni kaghazi pardey utaar ker
No comments:
Post a Comment