
Bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaan hona
Aadmee ko bhee muyassar naheen insaan hona
Giriya chaahe hai kharaabee mere kaashaane ki
Dar-o-deevaar se tapke hai bayaabaan hona
Waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko
Aap jaana udhar aur aap hee hairaan hona
Jalva az_bas ki taqaaza-e-nigah karta hai
Jauhar-e-aaina bhee chaahe hai mizhgaan hona
Ishrat-e-qatl_gah-e-'ehl-e-tamanna mat pooch
Id-e-nazzaara hai shumsheer ka uriyaan hona
Le gaye khaak mein hum daagh-e-tamanna-e-nishaat
Too ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaan hona
Ishrat-e-paara-e-dil, zakhm-e-tamanna_khaana
Lazzat-e-reesh-e-jigar gharq-e-namakdaan hona
Kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba
Haay us zood_pashemaan ka pashemaan hona
Haif us chaar girah kapde ki qismat 'Ghalib'
Jis ki qismat mein ho aashiq ka girebaan hona
No comments:
Post a Comment