Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Monday, November 25, 2013

Meri Maa..........

Ab k baras.........

Ab ky baras wo mujh sy mila to wo pehly jaisa na tha
Baatain woi thi chehra woi tha, lehja ab waisa na tha

badly us ny tewar apny tor dia sab wadoun ko
jany kis ki khatir badla pehly to aisa na tha

Thursday, October 17, 2013

Tumhare Jese Log Jab Se Meharban Nahi Rahay

Tabhi Se Ye Mere Zamin O Asman Nahi Rahay

Khandar Ka Roop Dharne Lagay Hein Bagh Shehar K
Wo Phool O Darakhat Wo Samar Yaha Nahi Rahay

Sub Apni Apni Soch Apni Fiqar K Aseer Hein
Tumhare Shehar Mein Mere Mizaj Da Nahi Rahay

Usay Ye Gham Hai Shehar Ne Hamari Baat Jaan Li
Hamain Ye Dukh Hai Us K Ranj Bhi Niha Nahi Rahay

Bohat Hein Yun To Mere Ird Gird Mere Ashna
Tumhare Baad Dharkano K Raaz Dan Nahi Rahay

Aseer Ho K Reh Gaye Hein Shehar Ki Fizao Mein
Parinday Waqeye Chaman K Tarjuman Nahi Rahay_______!!

Tuesday, October 8, 2013

Meri Maa k 8 Jhoot

Meri Maa Ne Hamesha Haqeeqat Biyan ki ho,Aisa bhi nahi,
Aath Martaba To Usne Mujh se Zaroor Jhot bola ...
Ye qissa meri wiladat se shuru hota hai, Me Iklota Beta tha or ghurbat buhat thi ..
Itna khana nahi hota tha jo hum sab ko kaafi ho jaye Aik din hamare ghar kahin se chawal aaye ..
Me Bare shauq se khane laga or wo khilane lagi Me ne dekha k usne apni plate k chawal bhi meri Thaal me daal diye ..
"Beta Ye Chawal Tum Kha Lo .. Mujhe to Bhook hi nahi Hai"
                               Ye uska Pehla Jhoot tha
Or Jab me Qadre Bara howa to aik din Machli Pakarne gaya ..
Us choti si nehar se jo Hamare Qasbe se Guzarti thi Youn howa k Do Machliyaan mere Haath Lagi ..
Bhaga Bhaga Ghar aya or jab khana tayyar ho gaya Dono Machliyaan saamne thin or me shauq se kha raha tha Dekha k Maa sirf kaantoon ko choos rahi thi ..
Maine Jab ye dekh ker khane se hath khench liya to kehne lagi ...
"Tumhe to pata hi hai k mujhe Machli ka Gosht pasand nahi .. Tum To Khao"
                               Ye uska Doosra Jhoot tha.
Or phir mera baap mar gaya or wo bewa ho gayi ..
Or hum dono ghar me akaile reh gaye ..
Kuch din mera chacha, jo buhat acha admi tha Hame Khana or zarooriyaate zindagi la ker deta raha. Hamare Humsaye use Aaate jaate ghaur se dekhne lage.
 Aik din unho ne Maa se kaha ...
"Zindagi hamesha is taur per guzari nahi ja sakti ..
Behter hai k tum is se shaadi ker lo" Lekin meri maa ne chacha ko hi aane jaane se mana ker diya ..
Ye keh ker k .. "Mujhe kisi ki madad ki zaroorat nai"
                                Ye uska Teesra Jhoot tha. 
Or jab me kuch or bara howa or bare school me jaane laga To meri Maa Ghar me Her waqt kapre seene lagi ..Or ye Kapre wo ghar ghar ja ker bechti thi ..
Sardiyoon ki aik raat thi, or Maa abhi tak ghar wapis nahi aayi thi ..
Me tang aa ker use dhoondhne bahar nikal para ...
Me ne use Kaproon ka aik gat'thar uthaye dekha ..
wo Galiyoon me ghar ghar darwaze khatkhataa rahi thi ..
Maine kaha, "Maa chalo ab ghar chalo .. Baqi kam kal ker lena" Kehne lagi, "Tum ghar Jao ...
Dekho kitni sardi hai or barish bhi ho rahi hai Me ye 2 Jore bech ker hi aaon gi .. Or fikar na karo ... Me bulkul theek hun or thakawat bhi nahi hai"
                                  Ye uska Chautha Jhoot tha. 
Or phir mera school me aakhri din bhi aya .. Aakhri imtehanaat the .. Maa mere saath school gayi ..
Me andar kamra'e Imtehaan me tha .. or wo bahar dhoop me khari thi Buhat dair baad me bahar nikla ..
me buhat khush tha Maa ne wahin se aik Mashroob ki bottle khareedi or me ghata-ghat peene laga Maine shukar guzaar nazroon se use dekha ..
 Us k maathe per paseene ki dharain chal rahi thin .. Maine bottle uski taraf berha di .. "Piyo na Maa .."
"Tum piyo .. Mujhe to bulkul pyaas nahi hai .."
                                   Ye uska Paanchwaan Jhoot tha.
Or jab me University se farigh ho gaya to aik nokri mil gayi.
Me ne socha k ab ye munsaib waqt hai k maa ko kuch araam diya jaye k ab uski sehat pehle jasi nahi thi Isliye wo ghar ghar phir ker kapre bhi nahi bechti thi ..
Bal k Bazar me hi dari bicha ker kuch sabziyaan wagaira hi farookht ker aati thi. Jab maine apni tankhaw me se kuch hissa use dena chaha To usne narmi se mujhe mana ker diya ..
"Beta Abhi Tumhari Tankhaw thori hai .. Ise apne paas hi rakh ker jama karo ..
Mera To guzara chal hi raha hai Itna kama leti hun jo mujhe kaafi ho jaye"
                                   Or ye uska Chata Jhoot tha. 
Or jab me kaam k saath saath mazeed perhne laga or mazeed deegrees lene laga To meri taraqqi bhi ho gai. Me jis German company me tha, unho me mujhe apne Head Office Germany bula liya.
Or meri aik nayi zindagi ki ibtidaa howi ..
Maine Maa ko phone kiya or use wahan mere paas ane ko kaha ..
Lekin use pasand na aya k mujh per bojh bane .. Kehne lagi k,
"Tumhe to pata hai k Me us tarz-e-zindagi ki aadi nahi hun .. Me Yahan per hi khush hun ..
                                  " Ye uska Saatwaan Jhot tha.
Or phir wo Buhat Borhi ho gayi ..
Aik din mujhe pata chala k use Jaan lewa cancer ho gaya hai Mujhe us k paas hona chahye tha lekin hamare darmiyaan musafatain haayil thin Phir jab use hospital pohcha diya gaya to mujh se raha na gaya ..
Me sab kuch chorh ker watan wapis aya us k paas ..
Wo bistar per thi .. Mujhe dekh ker us k hontoon per aik muskaan aa gayi ..
Mujhe use dekh ker aik dhachka sa laga or dil jalne laga .. Buhat kamzoor, buhat beemar lag rahi thi ..
Ye wo nahi thi jisko me jaanta tha .. Meri Aankhoon se aansoo jari ho gaye ..
Lekin Maa ne mujhe Theek se RONE bhi Nahi diya .. Meri khatir phir muskurane lagi ..
"Na Ro mere bete .. Mujhe bulkul koi dard mehsoos nahi ho raha .."
                                   Or ye uska Aathwaan jhoot tha .. 
Us k baad usne Aankhain Moond li .. Or Us k baad phir dobara kabhi nahi kholi.

Bury jo tum nai ho to chalo phr hum bury houn gy

Bury jo tum nai ho to chalo phir hum bury houn gy
Qadam do char sang tery kabi to hum chaly houn gy

Thursday, July 18, 2013

Khwab Main Chehra Tumhara

Khawab main chehra tumhara aaj hum ny dekha hai

Dil nasheen tha pur kashish tha aaj hum ny dekha hai

Tuesday, July 16, 2013

Dekh Ky Jis Ko Dil Ko Qarar Aye Ga

Dekh Ky Jis Ko Dil Ko Qarar Aye Ga
Lot Kar Kbi To Mera Wo Yar Aye Ga..

Wo Mjhy Bhool B Gya Hai To  Koi Baat Nai
Mera Khayal Usko Baar Baar Aye Ga..

Main Janta Houn Us Ky Dil Me Nafrt Hai Mry Liy
Ik Din Wo Ho Ky Pas Mry Sharmsar Aye Ga..

Wo Bi Ro Dy Ga Meri Halat Dekh Kar
Muhabbat Py Meri Phir Usko Aitbar Aye Ga..

Kehta Phiry Ga Logoun Sy Acha Tha Mera yar
Jab Mayyat Py Meri Ho Ky Wo Ashkbaar Aye Ga..