Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label waqt poetry. Show all posts
Showing posts with label waqt poetry. Show all posts

Friday, January 29, 2016

Lamha bhar apna hawaon ko banany waly

Lamha bhar apna hawaon ko banany waly
Ab na ayen ge palat ker kabhi janay waly

Kia milay ga tujhay bikhray hovay khwabon k siwa
Rait par chand ki tasveer bananay waly

Sab ne pehna tha baray shauk se kaghaz ka libas
Jis qadar log thay barish main nahanay waly

Mar gaye hum to yeh kutbay pe likha jaye ga
Sou gaye aap zamanay ko jaganay waly

Dar-o-dewar pe hasrat si barasti hai qateel

Janay kis dais gaye piyar nibhanay waly!

Chalo hum maan lete hain, ye duniya jhoot kehti hai

Chalo hum maan lete hain,
ye duniya jhoot kehti hai,
tumhe hum se nahi ulfat,

chalo hum maan lete hain,
tumhari be"qrari ki,
wajha kuch aur hi hogi,.

Nigaahen mujse milte hi
tumhare muskrane ka
sabab kuch aur hi hoga,

jise km"fehm logon ne,
mohabbat naam de daala,

mgr itna bataa do tum,
bicharte waqt jan-e-jaan.

Palat kr dekh k hum ko,
tumhari jheel si aankhen,

chalakti ja rhi thi kyun..?
Hamain tarpaa rahi thi kyun..?

Thursday, January 28, 2016

Waqt ki gardish-e-ayam mein beh janay do

Waqt ki gardish-e-ayam mein beh janay do
zindagi jaisay guzarti hay guzar janay do

meray dil nay kabhi phoolon ki tamanna ki thi
aaj kanton hi ko daman say lipat janay do

roshni jag mein hay aur dil mein andhera mere
in andheron say bohat door nikal janay do

doston nay poocha kahan hen us k qasmen waday
main nein kaha chordo usay nai dunya basanay do

woh chaand tha woh chand hay usay chamaknay do falak pe
main khak tha main khak houn mujhay khaak mein mil janay do

Wednesday, January 27, 2016

Samay samay ki khalish main tera malal rahy

Samay samay ki khalish main tera malal rahy
Judaiyon main bhi youn alam-e-wisal rahy

Ana ki jang main hum jeet to gaye lakin
Phir uss ke bad der tak nidhal rahy

Rah-e-junoon main ye hi zad-e-raah hota hai
Ke justaju barhay deewangi bahaal rahy

Haseen raatain bhi mehkain tumhari yaadon main
Karray dino main bhi pal pal tera khayaal rahy

Tu ek baar zara kashtiyaan jala to sahi

Hai kiya majaal ke ek lamha bhi zawaal rahy

Lamha lamha mera, malaal ka hai

Lamha lamha mera, malaal ka hai
Silsila ye to mahh-o saal ka hai

Saarey lamhy hain hijr key lamhey
Ik lamha terey wasaal ka bhi hai

Jeet leta hai dil tu baaton say
Ye huner bhi tera kamaal ka hai

Aur kuch dair tou theher jao
Waqt dekho abhi zawaal ka hai

Ye jo husn-e-khayaal hai mera
Aks ye bhi terey jamaal ka hai

Mai khan koi shair kehta houn
Ye karishma terey khayaal ka hai

Jaan dey dun mai pal bhar mai

Muntazir bas terey sawaal ka hai

Tuesday, January 26, 2016

Hama-waqt ranj-o malal kya, jo guzar gaya so guzar gaya

Hama-waqt ranj-o malal kya,
jo guzar gaya so guzar gaya

Use yaad ker ke na dil dukha,
jo guzar gaya so guzar gaya
Na gila kia, na khafa Howay,
youn hi raastay main juda huy
Na tu be-wafa, na main be-wafa,
jo guzar gaya so guzar gaya
Woh ghazal ki aik kitaab tha,
woh gullon main aik gulaab tha
Zara dair ka koi khuwab tha,
jo guzar gaya so guzar gaya
Mujhe pat-jharon ki kahaniyan,
na suna suna ke udaas ker
Tu khizan ka phool hai muskura,
jo guzar gaya so guzar gaya
Woh udas dhoop samait ker,
kahin wadion main uter chukka
Usy ab na de mere dil sada,
jo guzar gaya so guzar gaya
Yeh safar bhi kitna taweel hai,
yahan waqt bhi kitna qalil hai
Kahan laut ker koi aye ga,
jo guzar gaya so guzar gaya
Woh Wafaien thien ke Jafaien thien,
yeah na soch kis ki khatien thien
Wo tera hai us ko galay laga,
jo guzar gaya so guzar gaya
Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi,
nahi dunya itni buri nahi
Na malal ker mere saath Aa,

jo guzar gaya so guzar gaya

Tum tarq e ta’aluq ka kisi sy zikr mat karna



Tum tarq e ta’aluq ka kisi sy zikr mat karna
Main logoun sy yeh keh doun ga usy fursat nai milti

Wednesday, January 13, 2016

Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain


Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
Naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain

Jab woh the.. Talaash-e-zindagi bhi thi
Ab to maut ke thikaane dhoondte hain

Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha
Aaj hue se deewaane dhoondte hain.

Musaafir be-khabar hain teri aankhon se
Tere shahar mein maikhaane dhoondte hain

Tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
Hum to rone ke bahaane dhoondte hain.

Unki aankhon ko youn dekho na yaaro

Naye teer hain. Nishaane dhoondte hain

Friday, January 1, 2016

Kyun Tu Acha Lagta Hai , Waqt Mila To Sochain Gy


Kyun Tu Acha Lagta Hai
Waqt Mila To Sochain Gy

Tujh Mein Kya Kya Dekha Hai
Waqt Mila To Sochain Gy

Sara Sheher Shanasai Ka
Dawedar To Hai Lekin

Kon Hamara Apna Hai
Waqt Mila To Sochain Gy

Hum Ne Usko Likha Tha
Kuch Milne Ki Tadbeer Karo

Us Ne Likh Ker Bheja Hai
Waqt Mila To Sochain Gy

Mosam Khushbu Baad-E-Saba
Chand Shafaq Aur Taron Mein

Kon Tumhare Jaisa Hai
Waqt Mila To Sochain Gy

Ya To Apne Dil Ki Mano
Ya Phir Duniya Walon Ki

Mashwara Uska Acha Hai
Waqt Mila To Sochain Gy