Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label sawan poetry. Show all posts
Showing posts with label sawan poetry. Show all posts

Wednesday, January 6, 2016

Saawan men barsaat zaroori hoti hey

Saawan men barsaat zaroori hoti hey
Dil se dil ki baat zaroori hoti hey

Jagmag kertay chaand k pehloo men
Taaron ki baaraat zaroori hoti hey

Is jeewan men har pal jeetnay waalay ko
Kabhi kabhi to maat zaroori hoti hey

Din ki shaan o shookat qaaaim rakhnay ko
Andhi kaali raat zaroori hoti hay

Piyaar naveed zaroori hey yun jeenay ko

Jaisay apni zaat zaroori hoti hay

Rang to laye gi sawan ki ghata merey ba'ad

Rang to laye gi sawan ki ghata merey ba'ad
Tuj ko tarpa'ey gi sawan ki ghata merey ba'ad

Ek ek bond ko tarsi houn magar janti ho
Jhoom kar aaye gi sawan ki ghata merey ba'ad

Yeh ghata surkh hai,lagta hai kuch aisa mujhey
Khoun barsaye gi sawan ki ghata merey ba'ad

Kis qadar garam hawa hai k badan toot'ta hai
Aag barsaye gi sawan ki ghata merey ba'ad

Haan rulaya hai bohaat aur sataya hai bohaat

Kis ko tarpa'ey gi sawan ki ghata merey ba'ad