Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label Muhammad (SAWW). Show all posts
Showing posts with label Muhammad (SAWW). Show all posts

Friday, January 15, 2016

Koi Misl Mustafa (SAWW) ka kabi tha, na hai na hoga


Koi Misl Mustafa (SAWW) ka kabi tha, na hai na hoga
Kisi aur ka yeh rutba kabi tha, nai hai na ho ga

Monday, January 4, 2016

Ya Rab tere mahboob ka jalwa nazar aaye



Ya Rab tere mahboob ka jalwa nazar aaye
is noor mujassam ka saraapa nazar aaye

Ay kaash kabhi aisa bhi ho kwaab me mere
hoon jis ki gulaami me who aqaa nazar aaye

Ta hashr meri qabar me ho jaaye ujaala
marqad me jo un ka rukhe zebaa nazar aaye

Jis dar ka banaaya he ghadaa mujh ko ilaahi
is dar pe kabhi kaash ye maghta nazar aaye

Roshan rahe aankhen ye meri baade fana bhi
gar waqt nazaa ho shahe waala nazar aaye

Kis aankh ne dekhi he misaal un ki jahan me
sarkaar too konain me yakta nazar aaye


Kaaba ay riaz is ko banaa lo me dil ka
gar naqshe qadam mujh ko nabi nazar aaye

Wednesday, December 23, 2015

Musalmanon ka shewa hai Muhammad (SAWW) se wafa karna




Musalmanon ka shewa hai Muhammad (SAWW) se wafa karna
Namaz-e-Ishq talwaron ke saey mein ada karna

Humein imaan ka matlab bas itna hi samaj aya
Rasool-e-pak ki hurmat (honour) pe tan man dhan fida karna

Jisse katna nahi ata hai namoos-e-risalat per
badan pe bohj (burden) hai woh sar, utha ke bohj kya karna

Nisab-e-deen ka pehla baab hi ishq-e-risalat hai
maqam-e-Mustafa se hai jahan ko ashana karna

Raheem un sa Kareem un sa hua na taa-abad (eternity) hoga
ke unki shaan-e-rehmat hai buron se bhi bhala karna

Ragon mein khoon ki surat rawan unki muhabbat hai
yeh woh lafaani (indestructible) jazba hai, nahi mumkin fanaa karna

Kaha Quran ne Malik, Mala’ik ki yeh sunnat hai
Nabi ke naam-e-nami ko nazar salle ala karna

Sunehri khulq Ahmad se hui tareekh insaani
sitam seh kar sitamgar ki hidayat ki dua karna

Agar hubb-e-Nabi mein aazmaish ki ghari aaey
Dua Afzaal ki Mawla hamey sabit khara karna

Musalmanon ka shewa hai Muhammad (SAWW) se wafa karna
Namaz-e-Ishq talwaron ke saey mein ada karna

Monday, December 21, 2015

Ki Muhammad Sy wafa tu ny to hum tery hain


Ki Muhammad Sy wafa tu ny to hum tery hain
Yeh jahan cheez hai kya loh o qalam tery hain