Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label dua poetry. Show all posts
Showing posts with label dua poetry. Show all posts

Thursday, January 28, 2016

Main apni duaaon ka asar dekh raha houn

Main apni duaaon ka asar dekh raha houn
ghambheer andheron mein sahar dekh raha houn

dil ka sahar o shaam tarapna woh machalna
dekha nahi jaata hay magar dekh raha houn

ghabra k palat jaaon meray bus mein nahi hai
go samnay anjam e safar dekh raha houn

aankhoun mein idhar ashk udhar aag hay dil mein
barsaat mein jalta hoa ghar dekh raha houn

afsurda si lagti hay mujhay bazm e sukhan bhi
aazurda mein tum ko jo qamar dekh raha houn

Tuesday, January 26, 2016

Duniya Ne Hum Pe Jab Koi Ilzaam Rakh Diya



Duniya Ne Hum Pe Jab Koi Ilzaam Rakh Diya
Humne Muqabil Us Ke Teraa Naam Rakh Diya

Ik Khaas Had Pe Aa Gai Jab Teri Berukhi
Naam Us Ka Humne Gardish-E-Ayyaam Rakh Diya

Main Ladkhada Raha Hon Tujhe Dekh Dekh Kar
Tune To Mere Samanay Ik Jaam Rakh Diya

Kitna Sitm Zareef Hai Wo Saahib-E-Jamal
Us Ne Diya Jala Ke Lab-E-Baam Rakh Diya

Insan Aur Dekhe Baghair Us Ko Maan Le
Ik Khauf Ka Bashar Ne Khuda Naam Rakh Diya

Ab Jis Ke Ji Mein Aaye Wohi Paaye Roshani
Humne To Dil Jala Ke Sar-E-Aam Rakh Diya

Kiya Maslahat Shanaas Tha Wo Adami 'Qateel'
Majburiyon Ka Jis Ne Wafa Naam Rakh Diya

Sunday, January 24, 2016

Rab Se Jab Hum Dua Maangte Hain



Rab Se Jab Hum Dua Maangte Hain

Jaante Ho K Hum Kia Maangte Hain
sab Kuch Maangte Hain Ap Ke Liye
Hum Apne Liye Bus Ap Ki Wafa Maangte Hain

Friday, January 1, 2016

Teri tareef karte hai to isme kya burayi hai


Teri tareef karte hain to isme kya burayi hai,
Khuda ne apne hathoun se teri surat banayi hai,

Hazaron ki tarah sunle teri ruswai ke dar se,
Teri tasveer humne kitaboun mein chhupayi hai,

Teri masoom surat ki yehi tarif hai sun le,
Zubaan pe hai yehi sab ke khudayi hai khudayi hai,

Marz ye ishq ka aisa laga k phir nahi chhuta,

Dua bhi humne ki dawa bhi aazmaayi hai...

Friday, December 25, 2015

Main Apni Duaaon Ka Asar Dekh Rahi Houn



Main Apni Duaaon Ka Asar Dekh Rahi Houn

Ghambheer Andheron Mein Sahar Dekh Rahi Houn

Dil Ka Sahar O Shaam Tarapna Woh Machalna

Dekha Nahi Jaata Hay Magar Dekh Rahi Houn

Ghabra K Palat Jaaon Meray Bus Mein Nahi Hai

Go Samnay Anjam E Safar Dekh Rahi Houn

Aankhon Mein Idhar Ashk Udhar Aag Hay Dil Mein

Barsaat Mein Jalta Hoa Ghar Dekh Rahi Houn

Afsurda Si Lagti Hay Mujhay Bazm E Sukhan Bhi

Aazurda Mein Tum Ko Jo Qamar Dekh Rahi Houn

Is shehr e sitamgar main wafa dhoond rahy hain


Is shehr e sitamgar main wafa dhoond rahy hain.
Nadaan hain hum bhi kay ye kya dhoond rahy hain.
Hum log muqadar kay sikandar to nahi hain.
Kiya soch ke phir aab-e-baqa dhoond rahy hain.
Khamosh fizaaon main ye bechain parindy,
Is habs ke mosam main hawa dhoond rahy hain.
Jo dil se nikalty hei tere qalb ko chhu lay,
Hum log wohi harf e dua dhoond rahy hain.
Ek shakhs nay manga tha kabi hum ko dua me,

Us shakhs ko ab tak ba-khuda dhoond rahy hain.

Na ho udas Mohsin tujh se agr nhi milta


Na ho udas Mohsin tujh se agr nhi milta...
Yahan kisi se koi umer bher nhi milta
Hua hai sheher veeran tujh ko to khabar hogi
Bohat dino se mujhay apna hi ghar nahi milta
Her ek morr pe miltay hain, hazaron dost

Main dhundta hon jisay wo magar nahi milta.

Monday, December 21, 2015

Shiksta khawab o shiksta pa hon Mujay doan main yaad rakhna

Shiksta khawab o shiksta pa hon Mujay doan main yaad rakhna
Main akhri jang lar raha hon Mujay doan main yad rakhna
Hoyen pegham day gai hain k muj ko driya bula raha hai
Main baat sari smjh gaya hon Mujay doan main yad rakhna
Na janay kofay ki kaya khabar ho na janay kis dasht main basar ho
Main phir madinay se ja raha hon Mujay doan main yad rakhna
Mujay aziz zany man! muhabat ko koi b tajurba nahi
Main is safar main naya naya hon Mujay doan main yad rakhna

Mujay ab kisi se bhali ki koi tawqa nahi hai tabish
Main adttan sub se kah raha houn, mujay doyan main yad rakhna