Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label lehja. Show all posts
Showing posts with label lehja. Show all posts

Tuesday, December 29, 2015

Rahon pe nazar rakhna honto’n pe dua rakhna


Rahon pe nazar rakhna honto’n pe dua rakhna
Aa jaey koi shaid, darwaza khula rakhna

Ehsaas ke shamaa ko, iss tarah jala rakhna
Apni bhi khabar rakhna, uss ka bhi pata rakhna

Raato’n ko bhatakny ke, deta hy saza mujh ko
Dushwaar hy pehlu mein, dil, tery binaa rakhna

Logo’n kee nigaho’n ko parh leny kee aadat hy
Haalaat ke tehreerei’n, chehry se bachaa rakhna

Bhoolu’n mein agar ay dil, tu yaad dila dena
Tanhai k lamho’n ka, har zakhm haraa rakhna

Ik boond bhi ashko’n kee, daaman na bigho paey
Gham uss ke amaanat hy, palko’n pe sajaa rakhna

Iss tarah qateel uss se, bartaao rahy apna

Wo bhi na bura maany, dil ka bhi kahaa rakha

Friday, December 25, 2015

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta


Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta
Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta
Yak tarfa takazay to nibaye nahi jate
Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta,
Ilzamm lagata wo bare shok se par,
Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,
Kuch us ko bi ehsas meri tanhai ka hota,

Kuch khuwab mere pyar se takmeel wo karta.