Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label ilzam poetry. Show all posts
Showing posts with label ilzam poetry. Show all posts

Tuesday, January 26, 2016

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay
Hum ehd-e-muhabbat se mukartay bhi to kaisay

Wo shakhs to yaklakht hi hat jata tha peechhay
hum toot k qadmon main bikhartay bhi to kaisay

Ilzaam ye aata k tujhay bhool gaye thay
Aye dost! Tujhay yaad jo kartay bhi to kaisay

Kia khaak muqaddar se koi hum ko gila ho
Bigron k muqaddar thay, sanwartay bhi to kaisay

Mehroom hi rehtay jo tere radd- e-amal say
Aye jaan! Tere pyaar main martay bhi to kaisay

Jeevan hi guzara tha thapairon main jo hum nay
Hum ab kisi toofaan se dartay bhi to kaisay

Ek paaki-e-damaan pe sada naaz raha tha
Darya-e-muhabbat main utartay bhi to kaisay

Har roz ki zillat bhi gawara to nahi thi
Us raah se hum roz guzartay bhi to kaisay

Jeenay ki saza daiti hay, jeenay nahi daiti
Dunya! Tera tawaan jo bhartay bhi to kaisay

Bach kar na nikal paaye saraab ishq se un kay

Dooba tha samandar main, ubhartay bhi to kaisay.

Duniya Ne Hum Pe Jab Koi Ilzaam Rakh Diya



Duniya Ne Hum Pe Jab Koi Ilzaam Rakh Diya
Humne Muqabil Us Ke Teraa Naam Rakh Diya

Ik Khaas Had Pe Aa Gai Jab Teri Berukhi
Naam Us Ka Humne Gardish-E-Ayyaam Rakh Diya

Main Ladkhada Raha Hon Tujhe Dekh Dekh Kar
Tune To Mere Samanay Ik Jaam Rakh Diya

Kitna Sitm Zareef Hai Wo Saahib-E-Jamal
Us Ne Diya Jala Ke Lab-E-Baam Rakh Diya

Insan Aur Dekhe Baghair Us Ko Maan Le
Ik Khauf Ka Bashar Ne Khuda Naam Rakh Diya

Ab Jis Ke Ji Mein Aaye Wohi Paaye Roshani
Humne To Dil Jala Ke Sar-E-Aam Rakh Diya

Kiya Maslahat Shanaas Tha Wo Adami 'Qateel'
Majburiyon Ka Jis Ne Wafa Naam Rakh Diya

Tuesday, December 29, 2015

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisy


Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisy
Hum ehd-e-muhabbat se mukartay bhi to kaisy

Wo shakhs to yaklakht hi hat jata tha peechhay
hum toot k qadmon main bikhartay bhi to kaisy

Ilzaam ye aata k tujhay bhool gaye thay
Aye dost! Tujhay yaad jo kartay bhi to kaisy

Kia khaak muqaddar se koi hum ko gila ho
Bigron k muqaddar thay, sanwartay bhi to kaisy

Mehroom hi rehtay jo tere radd- e-amal say
Aye jaan! Tere pyaar main martay bhi to kaisy

Jeevan hi guzara tha thapairon main jo hum nay
Hum ab kisi toofaan se dartay bhi to kaisy

Ek paaki-e-damaan pe sada naaz raha tha
Darya-e-muhabbat main utartay bhi to kaisy

Har roz ki zillat bhi gawara to nahi thi
Us raah se hum roz guzartay bhi to kaisy

Jeenay ki saza daiti hay, jeenay nahi daiti
Dunya! Tera tawaan jo bhartay bhi to kaisy

Bach kar na nikal paaye saraab ishq se un kay
Dooba tha samandar main, ubhartay bhi to kaisy.

Friday, December 25, 2015

Judai Sy Marra wo b Nahi Mein b Nahi


Judai Sy Marra
wo b Nahi Mein b Nahi.
"Dono Insan hain
KHUDA wo b Nahi Mein b Nahi.
wo Mujhe, Aur Mein ossay Ilzam daitay hein Magar,
Apne Åndar Jhankta wo b Nahi Mein b Nahi.
ZÅManey Ny Kar dia dono Mein Paida Ikhtlaaf,
Warna Fitrat Ka ßura wo b Nahi Mein b Nahi.
Mukhtalif SiMto Mein dono Ka SÅfar Jari Raha,
Ek LaMhey Ko Ruka wo b Nahi Mein b Nahi.
"Chahtey dono ßohat hain Ek dosray ko Mgar,

Yeh Haqiqat Manta wo b Nahi Mein b Nahi..