Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label gham poetry. Show all posts
Showing posts with label gham poetry. Show all posts

Monday, February 29, 2016

Na jane kitni Muhabbat hai ranj-o-gham se mjhy



Na jane kitni Muhabbat hai ranj-o-gham se mjhy


koi bhi dard ho dil mein chupana chahta hooun

Friday, February 19, 2016

Haal-e-ghum un ko sunaaty jaiyee



Haal-e-ghum un ko sunaaty jaiyee
shart ye hai ke muskuraaty jaiyee

Aap ko jaate na dekhaa jaayegaa
shama ko pahale bujhaty jaiyee

Shukriyaa lutf-e-musal_sal kaa magar
gaahe gaahe dil ko dukhaaty jaiyee

Dushmanoun se pyaar hotaa jaayegaa
dostoun ko aazamaty jaiyee

Roshni mahaduud ho jin ki
un charaagoun ko bujhaaty jaiyee

Thursday, February 11, 2016

Tu Jo Roye Ga To Meri Palkon Pay Nami Reh Jaye Gi

Tu Jo Roye Ga To Meri Palkon Pay Nami Reh Jaye Gi
Zindagi Bas Naam Ki Zindagi Reh Jaye Gi

Tu Mujhe Chor Raha Hai Ek Baar Phir Say Soch Lay
Main Chala Jaun Ga Aur Teri Ankhein Dekhti Reh Jayen Gi

Yeh Nahi K Zindagi Tum Bin Jee Nahi Paun Ga
Haan Meri Zindagi Main Ek Kami Reh Jaye Gi

Zindagi Main Sabh Say Ziada Main Nay Tumhy Chaha
Main Agar Naa Bhi Raha To Meri Yaad Reh Jaye Gi

Saturday, February 6, 2016

Main teri yaadon ki gham-e- dastaan houn

Main teri yaadon ki gham-e- dastaan houn 


Tu kabhi mujh ko parhy ga to mar jae ga

Friday, January 29, 2016

Ehwal-e-gham-e- zaat sunany se raha main

Ehwal-e-gham-e- zaat sunany se raha main
ab khud ko ko tamasha to banany se raha main

hr baar main tazleel-e-anaa kr nahi sakta
hr baar usy ja k manany se raha main

ehsaan ka mafhoom hi ankhain na milana
ehsaan ksi ka b uthany se raha main

mumkin hai ksi roz ye akseer bana dy
is dil me lagi aag bujhany se raha main

jo zakhm rafiqon k rawaiyon se lgy hain
wo zakhm ksi ko b dikhany se raha main

jany do mujhe bazm-e-turaab main nahi ruko
baar-e-gham-e-tanhai uthany se raha main

darya hon to darya hi usy pesh kroun ga
piyasy ko samundar to pilany se raha main

Tuesday, January 26, 2016

Ghum Ki Barish Ne Bhi Tera Naqsh Ko Dhoya Nahi

Ghum Ki Barish Ne Bhi Tera Naqsh Ko Dhoya Nahi
Tu Ney Mujh Ko Khoo Diya Mainay Tujhe Khoya Nahi

Neend Ka Halka Gulabi Sa Khumaar Ankhon Main Tha
Yoon Laga Jaise Woh Shab Ko Deir Tak Soya Nahi

Har Taraf Dewar-O-Dar Or In Main Aankhon K Hajoom
Keh Sakay Jo Dil Ki Halat Woh Lab-e-Goyaa Nahi

Friday, January 15, 2016

Akela hun magar aabaad kar lytaa hun veeranay


Akela houn magar aabaad kar lytaa houn veeranay
Buhat roye-gi meray baad mere shaam-e-tanhai.

Wednesday, January 13, 2016

Haseen yadoon k kuch mousam usey arsal karnay hain



Haseen yadoon k kuch mousam usey arsal karnay hain

Suna hai shab ko tanhai usey sonay nahin deti……..

Friday, January 8, 2016

Usko Baray khuloos se Samjhaya tha



Usko
Baray khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
Dene ko kuch bhi nahin hai
Magar
Usne khamooshi se
Mere bahte howe ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
Kehte huowe chal di
Mujhe mere jeene ka

Sahara mil gaya...!

Tuesday, December 29, 2015

Mere ghummon ka madaawa Sharaab hai Saaqi


Mere ghummon ka madaawa Sharaab hai Saaqi
Na rok haath k ghum be-hisaab hai Saaqi

Shau'ur zehen ko dasta hai naagino ki tarah
Pila! k hosh mein rehna azaab hai Saaqi

Sakun hayat ka chota sa baab hai piyaare
Sukun k baab mein poori kitaab hai Saaqi

Gham-o-Alam ka, musarrat ka, shaadmani ka
Har ik sawaal ka bus ik jawaab hai, Saaqi

Mubaada kaan dharun naasihon ki baaton par

Behak na jaaon, zamana kharaab hai Saaqi

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisy


Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisy
Hum ehd-e-muhabbat se mukartay bhi to kaisy

Wo shakhs to yaklakht hi hat jata tha peechhay
hum toot k qadmon main bikhartay bhi to kaisy

Ilzaam ye aata k tujhay bhool gaye thay
Aye dost! Tujhay yaad jo kartay bhi to kaisy

Kia khaak muqaddar se koi hum ko gila ho
Bigron k muqaddar thay, sanwartay bhi to kaisy

Mehroom hi rehtay jo tere radd- e-amal say
Aye jaan! Tere pyaar main martay bhi to kaisy

Jeevan hi guzara tha thapairon main jo hum nay
Hum ab kisi toofaan se dartay bhi to kaisy

Ek paaki-e-damaan pe sada naaz raha tha
Darya-e-muhabbat main utartay bhi to kaisy

Har roz ki zillat bhi gawara to nahi thi
Us raah se hum roz guzartay bhi to kaisy

Jeenay ki saza daiti hay, jeenay nahi daiti
Dunya! Tera tawaan jo bhartay bhi to kaisy

Bach kar na nikal paaye saraab ishq se un kay
Dooba tha samandar main, ubhartay bhi to kaisy.

Mohabbato'n Main Hawas k Aseer Hum B Nhi



Muhabbato'n Main Hawas K Aseer Hum B Nhi
Ghalat Na Jaan, K Itne Haqeer Hum B Nhi

Humari Doobti Nabzo'n Sy Zindagi To Na Maang
Sakhi Tu Hyn Lekin Itny Ameer Hum B Nhi

Humai'n Bujha De, Yun Humari Anaa Ko Qata Na Kr
Be-Zarar Sahi 'Mohsin' Be-Zameer Hum B Nhi …

Monday, December 28, 2015

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia


Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia 
Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia

Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai
Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye Kabhi Main Ne Darya Baha Dia

Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye Meri Bandgi Hai Wo Bandgi
Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia 


Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba
Tumain Zindagi Ki Hai Arzu Mujhe Zindagi Ne Mita Dia…..!

Friday, December 25, 2015

Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa


Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa 

aa phir e mjhy chor k jany k liye aa

pehly se marasim na sahi phir b kabi to

rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa


Kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum

tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa

ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden

ye aakhri shammen b bujhany k liye aa

Koi mujhko mera bharpoor saraapa la dey


Koi mujhko mera bharpoor saraapa la dey
Mere baazoo meri aankhen mera chehra la dey
Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey
Is se behter hai k mujh ko mera sehra la dey
Kuch nahi chahiye tujh se meri ae umr-e-rawan
Mera bachpan mere jugnoo meri guria la dey
Jiski aankhen mujhe ander se bhi parh sakti hon
Koi chehra to mere sheher mai aisa la dey
Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se

Ae khuda ab to dubo dey ya kinara la dey

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai


Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,
Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon.
Gali Kochon Mein Sannata bohut Hai,
Na Milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,
Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
In Aankhon Ne Tujhe Dekha bohut Hai,
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
Abhi Shayid Mujhe Rona bohut hai,
Tujhe Maloom To hoga Mere humdum,

Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!!!