Ehwal-e-gham-e- zaat sunany se raha main
ab khud ko ko tamasha to banany se raha main
hr baar main tazleel-e-anaa kr nahi sakta
hr baar usy ja k manany se raha main
ehsaan ka mafhoom hi ankhain na milana
ehsaan ksi ka b uthany se raha main
mumkin hai ksi roz ye akseer bana dy
is dil me lagi aag bujhany se raha main
jo zakhm rafiqon k rawaiyon se lgy hain
wo zakhm ksi ko b dikhany se raha main
jany do mujhe bazm-e-turaab main nahi ruko
baar-e-gham-e-tanhai uthany se raha main
darya hon to darya hi usy pesh kroun ga
piyasy ko samundar to pilany se raha main
No comments:
Post a Comment