Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label moat. Show all posts
Showing posts with label moat. Show all posts

Saturday, February 6, 2016

Main teri yaadon ki gham-e- dastaan houn

Main teri yaadon ki gham-e- dastaan houn 


Tu kabhi mujh ko parhy ga to mar jae ga

Saturday, January 30, 2016

Maut barhaq sahi magar mohsin


Maut barhaq sahi magar mohsin

Sans laina bhi ek qayamat hai

Tujh se humein koi tamanna kab thi ay zindagi

Tujh se humein koi tamanna kab thi ay zindagi

Hum to is aas pe jeete aaye hain k marna kab hai

Chalo maana tumhari aadat hai tarpaana



Chalo maana tumhari aadat hai tarpaana
zara socho, koi mar gya to kyaa kro gy..?

Wednesday, January 13, 2016

Jiska tum puchte ho wo mar gaya yaaro



Jiska tum puchte ho wo mar gaya yaaro
Usko kisi ki yaad ne zinda jala diya

Friday, January 1, 2016

moat ki reh guzar mein hoti hai



moat ki reh guzar mein hoti hai,

zindagi jab safar mein hoti hai

Unke ghar mein chiraagh jalte hain,

roshni mere ghar mein hoti hai.

Kya mohabbat isi ko kehte hain,

kyun yeh sozish jigar mein hoti hai

Unka ana hai maut ka aana,

zindagi to khabar mein hoti hai.

Kya zaroori ke esi dil mein ho,

jesi nafrat nazar mein hoti hai.

Jo bhi kehna hai saaf saaf kaho,

mujh ko uljhan agar mein hoti hai.

Pani hota hai ankh mein manzar,

aag bhi chashm e tar mein hoti hai.

Wednesday, December 30, 2015

Roshni k teer sy aankhein lahoo karta howa


Roshni k teer sy aankhein lahoo karta howa,
bujh raha hon main shehar ko surkhru karta howa,

Kaash tere aur mere faasiley bhi khatam hon,
sochta rehta hon zakhmon ko rafu karta howa,

Tu kisi ka ho chuka hai kia dua maangon ga main,
baith rehta hon tazabzub mein wuzu karta howa,

Is andheirey mein koi to ho jo mera saath de,
thakk gaya hon main akela guftagu karta howa,

Dhool sokhi pattiyon ka maqbara hoti hoi,
phool khushboo k millan ki aarzoo karta howa,

Sard shamoon mein kisi ka garm kamra aur tu,
main tere waadon ka maatam koo bakoo karta howa,


Ab k shahid woh nadaamat hai k apne aap ko,
mar raha hoon aainey k rubaru karta howa.

Wo jo mehv thy sar-e-aaina, pas-e-aina bhi to dekhty

Wo jo mehv thy sar-e-aaina, pas-e-aina bhi to dekhty,
kabhi roshni me wo teergi ko chupa howa bhi to dekhty,

Sar-e-aab jo raha tashna lab, to ye zabt-e-gham ki hai inteha,
mery haal pe thy jo nuqta cheen mera hosla bhi to dekhty,

Wo utar gaye thy jo paar khud, mujhe beech behar me chor kar,
tha jo un me itna hosla mujhe doobta bhi to dekhty,

Jinhen mujhse hai ye gila k main raha be nayaz-e-khaloos-o-rabt,
mery gird rasm-o-riwaj ka kabhi daira bhi to dekhty,

Wo meri hansi se hain khush gumaan, k nishat-e-zeest hai muddua,
mery ashk-e-gham ka ruka howa kabhi qaafla bhi to dekhty,

Hoon saza k baad bhi mohtaram, to hain hairaton me ye log kio?
Zara zehr-haq ka meri tarha, kabhi zaiqa bhi to dekhty,


Wo bohat hi sehal samajh rahy thy meri tishnagi se mout ko,
mery jism se tooti saans ka, wo rabta bhi to dekhty.

Friday, December 25, 2015

Judai Sy Marra wo b Nahi Mein b Nahi


Judai Sy Marra
wo b Nahi Mein b Nahi.
"Dono Insan hain
KHUDA wo b Nahi Mein b Nahi.
wo Mujhe, Aur Mein ossay Ilzam daitay hein Magar,
Apne Åndar Jhankta wo b Nahi Mein b Nahi.
ZÅManey Ny Kar dia dono Mein Paida Ikhtlaaf,
Warna Fitrat Ka ßura wo b Nahi Mein b Nahi.
Mukhtalif SiMto Mein dono Ka SÅfar Jari Raha,
Ek LaMhey Ko Ruka wo b Nahi Mein b Nahi.
"Chahtey dono ßohat hain Ek dosray ko Mgar,

Yeh Haqiqat Manta wo b Nahi Mein b Nahi..

Phir kisi yaad nay raat bhar hay jagaya mujh ko


Phir kisi yaad nay raat bhar hay jagaya mujh ko.
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko.
Din ko aaram hai na raat ko hay chain kabhi.
Janay kis khaak say kudrat nay banaya mujh ko.
Dukh to yeh hay k zamanay main milay ghair sabhi.
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko.
Jab koi bhi na raha kandha mere ronay ko.
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko.
Yub to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi.
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko.
Bewafa zindagi nay jab chor diya hay tanha.
Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko.
Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi.
Gham ki andhi nay subah aur shaam bujhaya mujh ko.
Kaisay bhoolon ga tere saath guzare lamhay.

Yaad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko.

Friday, December 18, 2015

Tumhein Jo Mere Gham-e-Dil Se Aa-Gahi Ho Jaaye,



Tumhein Jo Mere Gham-e-Dil Se Aa-Gahi Ho Jaaye, 

Jigar Main Phool Khilen, Aankh Shabnami Ho Jaaye, 

Ajal Bhi Us Ki Bulandi Ko Chhu Nahi Sakti, 
Wo Zindagi Jissay Ehsaas-e-Zindagi Ho Jaaye, 

Yehi Hai Dil Ki Halakat, Yehi Hai Ishq Ki Maut, 
Nigaah-e-Dost Pe Izhaar-e-Be-Kasi Ho Jaaye, 

Zamaana Dost Hai Kis Kis Ko Yaad Rakho Gay, 
Khuda Kare Tumhein Mujh Se Dushmani Ho Jaaye, 

Siyaah Khana-e-Dil Main Hai Zulmaton Ka Hujoom, 
Charagh-e-Shauq Jalao K Roshni Ho Jaaye, 

Ajal Ki Goud Main Qabil Huwi Hai Umar Tamaam, 
Ajab Nahi K Meri Maut Zindagi Ho Jaaye,