moat ki reh guzar mein hoti hai,
zindagi jab safar mein hoti hai
Unke ghar mein chiraagh jalte hain,
roshni mere ghar mein hoti hai.
Kya mohabbat isi ko kehte hain,
kyun yeh sozish jigar mein hoti hai
Unka ana hai maut ka aana,
zindagi to khabar mein hoti hai.
Kya zaroori ke esi dil mein ho,
jesi nafrat nazar mein hoti hai.
Jo bhi kehna hai saaf saaf kaho,
mujh ko uljhan agar mein hoti hai.
Pani hota hai ankh mein manzar,
aag bhi chashm e tar mein hoti hai.
No comments:
Post a Comment