Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts
Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts

Tuesday, April 19, 2016

Main Nay Iss Toor Say Chaha Tujhay Aksar Janan

Main Nay Iss Toor Say Chaha Tujhay Aksar Janan
Jaisay Mehtab Ko Bay Antt Samandar Chahay
Jaisay Sooraj Ki Kiran Seep K Dil Main Utray
Jaisay Khushboo Ko Hawa Rang Say Hat Ker Chahay

Jaisay Pathar K Kalaijay Say Kiran Pothtee Hay
Jaisay Gunchay Khulay Musam Say Hina Mangtay Hain
Jaisay Khaboun Main Khayaloun Ki Kaman Toot Tee Hay
Jaisay Barish Ki Dua Abla Pa Mangtay Hain

Maira Har Khab Mairay Sach Ki Gawahi Day Ga
Wusatedeed Nay Tujh Say Tairee Khahish Ki Hay
Mairee Sochoun Main Kabhi Daikh Sarapa Apna
Main Nay Duniya Say Alag Tairee Parastish Ki Hay

Khahishedeed Ka Musam Kabhi Dundhla Jo Hua
Nooch Dali Hain Zamanoun Ki Naqabain Main Nay
Tairee Palkoun Pay Utartee Hoie Subhoun K Liye
Tood Dali Hain Sitaroun Ki Tanabain Main Nay

Main Nay Chaha Tairay Husn Ki Gulzar Fiza
Mairee Ghazloun Ki Qataroun Say Dakhaktee Jaye
Main Nay Chaha K Mairay Fan K Gulsitan Ki Bahar
Tairee Ankhoun K Gulaboun Say Mahaktee Jaye

Tay To Ye Tha K Sajata Rahay Lafzoun K Kanwal
Mairay Khamosh Khayaloun Main Takalum Taira
Raqs Kerta Rahay Bhirta Rahay Khushboo Ka Khumar
Mairee Khahish K Jazeeroun Main Tabasum Taira


Tu Magar Ajnabi Mahool Ki Perwerda Kiran
Mairee Bhujhtee Hoie Ratoun Ko Sehar Kar Na Saki
Tairee Sansoun Main Maseehaie Thee Lekin Tu Bhi
Charaezakhumedeedaetar Kar Na Saki

Tujh Ko Ahsas Hi Kab Hay K Kisi Dard Ka Dagh
Ankh Say Dil Main Utar Jaye To Kiya Hota Hay ?
Tu K Seemab Tabiyat Hay Tujhay Kiya Maloom ??
Musamehijr Tahar Jaye To Kiya Hota Hay ??

Tu Nay Uss Moor Pay Toda Hay Taluq K Jahan
Daikh Sakta Nahin Koie Bhi Palay Ker Janan
Abb Ye Alam Ha K Ankhain Jo Khulain Ge Apnee
Yad Aye Ga Tairee Deed Ka Manzar Janan

Mujh Say Mangay Ga Tairay Ahedemuhubat Ka Hisab
Tairay Hijran Ka Dahkta Hua Mahshar Janan
Yooun Mairay Dil K Barabar Taira Gham Aya Hay
K Jaisay Shheshay K Muqabil Pathar Janan

Jaisay Mahtab Ko Bay Antt Samandar Chahay
Main Nay Iss Toor Say Chaha Tujhay Aksar Janan

Tuesday, March 8, 2016

Kabhi Jo Chhiri Yade rafta gaan Mohsin

Kabhi Jo Chhiri Yade rafta gaan Mohsin'
Bikhar Gai Hain Nigahen Kahan Kahan Mohsin'

Hawa Ne Raakh Uraai To Dil Ko Yad Aaya
K Jal Bujhi'n Mere Khawabo'n Ki Bastiyan Mohsin'

Kuch Aisy Ghr Bhi Mile Jin Mai Ghoongaton K Auz
Hui Hain Dafan Dupaton Mai Larkiyan Mohsin

Khandar Hai Ehdeguzishta Na Chhoo Na Chhair Isay
Khulen To Band Na Hon Iski Khirkiyan Mohsin

Bujha Hai Kon Sitara K Apni Aankh K Sath
Hwy Hain Saare Manaazir Dhuaan Dhuaan Mohsin

Nhi K Is Ne Ganwaye Hain Maahosaal Us K
Tmam Umr Katti Youn Bhi Raaye'gan Mohsin

Mila To Or Bhi Taqseem Kr Gya Mujhko
Sametna Thi'n Jisy Mri Kirchiyan Mohsin

Kahin Se Usne Bhi Torra Hai Khud Se Rabtewfa
Kahin Se Mai Bhi Bhool Gya Dastaan Mohsin

Saturday, February 6, 2016

Aankh Purnam Ashk Zam Zam Saans Madham Waqt Hai Kam



Aankh Purnam Ashk Zam Zam Saans Madham Waqt Hai Kam

Wisal Rahat Hijar Maatam Aah Mohsin Maut Marham

Khwaab Aaankhoun Mein Chubho Ker Dekhoun

Khwaab Aaankhoun Mein Chubho Ker Dekhoun
Kaash Main Bhe Kubhi So Ker Dekhoun

Shayed Ubhray Teri Tasveer Kaheen
Main Teri Yaad Mein Ro Ker Dekhoun

Issi Khwahish Mein Mitta Jaata Houn
Tere Paon Teri Thoker Dekhoun

Ashk Hain Vehm Ki Shabnam K Lahoo
Apni Palkain Tou Bhigo Ker Dekhoun

Kesa Lagta Hai Bichhar Ker Milna
Main Achanak Tujhe Kho Ker Dekhoun

Ab Kahaan Apne Girebaan Ki Bahaar
Taar Mein Zakhm Pirro Ker Dekhoun

Mere Hony Se Na Hona Behtar
Tu Jo Chahay  Tera Ho Ker Dekhoun

Rooh Ki Gardd Se Pehly Mohsin 
Daagh-E-Daman Ko Tou Dho Ker Dekhoun

Wednesday, February 3, 2016

Muhabbatoun Pe Bahut Aitmaad Kya Krna



Muhabbatoun Pe Bahut Aitmaad Kya Krna
Bhula Chuke Hain Ussay Phir Se Yaad Kya Krna

Wo Be-Wafa Hi Sahi Uss Pe Tuhmatain Kaisi
Zaraa Si Baat Pe Itna Fasaad Kya Krna

Mukhalifon Se To Mumkin Hai Dosti Apni
Munafiqon Se Magar Itehaad Kya Krna

Nigaah Mein Jo Utarta Hai Dil Se Kyun Utray
Dil-O-Nigaah Mein Paida Tazaad Kya Krna

Mein Iss Liye Ussay Ab Tak Na Chho Saka Mohsin
Wo Aaina Hai Ussay Sang-Zaad Kya Krna

Bikharta Jism Meri Jaan Kitab Kya Hoga




Bikharta Jism Meri Jaan Kitab Kya Hoga 
Tumhary Naam Se Ab Intsaab Kya Hoga 

Tum Apni Neend Bharey Shehar Me Talash Karo 
Jo Aankh Raakh Hui Us Me Khuwaab Kya Hoga 

Wo Meri Tohmatain Apne Badan Pe Kyu Orrhay 
Mere Gunah Ka Usko Sawab Kya Hoga 

Milega Doobnay Waalo Ko Ajar Jo Bhi Milay 
Samandron Ka Magar Ehtsaab Kya Hoga 

Hamaare Baad Humain Yad Kyu Karega Koi 
Hawa Ka Naqsh Sar-E-Sat'h-e-Aab Kya Hoga 

Bikhartey Tootey Mohsin Ko Aur Kya Kehna 
Kharab Aur  Wo Khaana Kharaab Kya Hoga 

Friday, January 29, 2016

Humare baad chali rasm-e-dosti k nahi?

Humare baad chali rasm-e-dosti k nahi?
Hawa ki zad main koi shama phir jali k nahe?

Bichharr k jub bhi mile mujh se pochta hai wo shaqs,
k in dinon koi taaza ghazal howe k nahi?

Suna hai aam thi kal shab ko chaand ki bakhshish,
bujhe gharon main bhi utri hai chandni k nahi?

Nikal k jis se howa apna dard awara,
kisi k dil main wo mehfil bhi phir saji k nahi?

Wo rah-guzar jo andheron main saans leti thi,
tumhare naqsh-e-qadam se chamak uthi k nahii?

Diyar-e-hijr se aaye ho kuch kaho mohsin,
k sham-e-ghum bhi kisi morr per mili k nahi?

Tuesday, January 26, 2016

Mohabbato'n main hawas k aseer hum b nhi

Mohabbato'n main hawas k aseer hum b nhi
ghalat na jaan, k itne haqeer hum b nhi

humari doobti nabzo'n sy zindagi to na maang
sakhi tu hyn lekin itny ameer hum b nhi

humai'n bujha de, yun humari anaa ko qata na kr
be-zarar sahi 'mohsin' be-zameer hum b nhi

Friday, January 22, 2016

Tujh ko malom hai kitni tujh ko izzat di hai


Tujh ko malom hai kitni tujh ko izzat di hai,
Sari duniya say juda tujh ko muhabat di hai,


Ankh badlo gay agr mujh se to mar jaoun ga.
Itni hassas mujhe rub ne tabyat di hai,

Chorna chaho jahan sath wahin ruk jana,
Dil na mane ga mgr main ne ijazat di hai,

Teri ankhoun ki qasam, zindgi samjha hai tujhe,
Tujh ko kuch soch k saanson mein sharakat di hai

Houn gay juda hum es tarah, imkan tu na tha


Houn gay juda hum es tarah, imkan tu na tha
Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha

Jesay howa hai ab k wo, halaat say mry
Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha

Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia
Ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha

Ek pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi
Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha

Mohsin hum ne ishq mein,paya naffa bahut

Is kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha

Maktab-e-ishq mein pesh aaye sawalon ki tarah


Maktab-e-ishq mein pesh aaye sawalon ki tarah
Hum pareshaan hi rahe apne khayalon ki tarah

Jab b anjaam-e-mohabat ne pukara khud ko
Waqt ne pesh kiya hum ko misaalon ki tarah

Zikr jab ho ga mohabat mein tabaahi ka kahin

Yaad hum aayen ge duniya ko hawaalon ki tarah

Main dil pe jabar karun ga, tujhe bhula dun ga,


Main dil pe jabar karun ga, tujhe bhula dun ga,
marrun ga khud bhi tujhe bhi karri saza dunga

yeh tergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho,
main tere shehr ke saare diye bhuja dun ga

hawa ka hath bataon ga har tabahi main,
haray shajar se parinday main khud urra dun ga

waffa karun ga kisi sogwaar chehre se,
purani qabar pe katbah naya saja dun ga


issi khayal mein guzri hai shaam-e-gham aksar,
ke dard hadh se barrhe ga to muskura dun ga

barrha rahi hain mere dukh, nishaniyan teri,
main tere khat, teri tasveer tak jala dun ga

bohat dino se mera dil udaas hai Mohsin
iss aaiine ko koi aks ab naya dunga

Yaad-mazi mai jo ankhoun ko saza di jaye


Yaad-mazi mai jo ankhoun ko saza di jaye,
is say behtar hai ky har baat bhula di jaye

Hum ny apno ky rawayon say ye mehsoos kiya,
dil ky angan mai bi dewaar utha di jaye

mai ne yaroon ky bhicharne say ye seekha mohsin

Apne dushman ko bi jeene ke dua di jaye

Kaash aa jaye vo mujhy jaan se guzarty dekhy


Kaash aa jaye vo mujhy jaan se guzarty dekhy
us ki khawahish thi kabhi mujh ko bikharty dekhy

wo saleeqy se hua hum se gurezan warna
log to saaf muhabbat se mukarty dekhy

waqat hota hai her ek zakham ka marham mohsin
phir bhi kuch zakham thy asy jo na bharty dekhy.

Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin


Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.
Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin.

Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain.
Humko lamhoun ki wafaon ne ujara mohsin.

Jab agiya ho ye yaqin ab woh nahin aega.
Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin.

Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha.
Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin.

Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin.

Uska khouna bhi karen kaisa gavara mohsin

Usko fursat hi nahi waqt nikaly Mohsin


Usko fursat hi nahi
waqt nikaly Mohsin

aisy hoty hain bhala
chahny waly Mohsin

yaad k dasht me phirta houn
main nangy paon

dekh to aa k kabi
paon k chhaly Mohsin

kho gai subho ki umeed
or ab lgta hai

hum nahi houn gay
k jb houn gy ujaly Mohsin

wo jo ik shakhs
mtaa-e-dil-o-jan tha
na raha

ab bhala kon mery

Dard sambhaly Mohsin

Hum aj b hain soch mein dooby howy mohsin


Hum aj b hain soch mein dooby howy mohsin
Khud se, kabi dunya se hain rothy howy mohsin

dene k liye usko, jo hum ne thy sambhalay
Wo phool kitabon mein, hain sokhay howy mohsin

wo apni jafaon mein kuch kami to karain aaj
Ik umer hui shehar, wo choray howy mohsin

hum ne ye kha tha k unhein pyar hai hum se
Hum aj bhari bazm mein jhotay howy mohsin

yad mein unki humain rahat jo mili hai

Hum aaj kuch andar se hain totay howy mohsin..

Friday, January 1, 2016

Chand Masoom se patto'n ka lahu hai


Chand Masoom se patto'n ka lahu hai

jisko maheboob k hatho'n ki hina kahte hai,

Wednesday, December 30, 2015

Ye chubhan akailay pan ki, ye laggan udaas shab say

Ye chubhan akailay pan ki,
ye laggan udaas shab say,

Main hawa say lar raha hoon,
tujhe kia bataon kab say,

Ye saher ki saazishen thien,
k ye inteqaam-e-shab tha,

Mujhe zindagi ka sooraj
na bacha saka ghazab say,

Tere naam say shafaa ho
koi zakham wo ataa kar,

Mera naama bar milay to
usay kehna ye adab say,

Wo jawaan rutoon ki shamein
kahan kho gain hain mohsin,

Main to bujh k reh gaya hon
 wo bicher gaya hai jab say.

Tuesday, December 29, 2015

Iss shehar mein aysi bhi qayamt na hoi thi


Iss shehar mein aysi bhi qayamt na hoi thi
Tanha thy magar, khud se to vehshat na hoi thi

Yeh din hy k, yaro’n ka bharosa bhi nahe hy
Wo din thy k, dushman se bhi nafrat na hoi thi

Ab saans ka ehsas bhi ik baar-e-gira’n hy
Khud apne khilaaf aesi baghavat na hoi thi

Ujray huay iss dil k har ik zakhm se poocho
Iss shehr mein kis kis se muhabbat na hoi thi

Ab tery qareeb aa k bhi, kuch soch raha hoon
Pehly tujhy kho kar bhi, nadamat na hoi thi

Khawabo’n ke hawa raas thi jab tak mujhy mohsin

Yoo’n jaagty rehna meri aadat na hoi thi