Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label zulfain poetry. Show all posts
Showing posts with label zulfain poetry. Show all posts

Saturday, January 30, 2016

Main agr aam sa lagta houn to..

Main agr aam sa lagta houn to...

kyun Dekh k baal sanwary uss ny...?

Baal bikherey wo gum sum youn kharra hai jaisy



Baal bikherey wo gum sum youn kharra hai jaisy
hijar se wasta usko bhi parra hai jaisy

uski aankhon mein lahu utra nazar aata hai
raat bhar neend se lagta hai larra hai jaisy

ba-khaber achi tarah aandhi ki fiitrat se hai ye
phir bhi phool khud hi bikhrney pe arra hai jaisy

teri peshani mere honton ke dam se roshan
chaand maathy pe tere mein ne jarra hai jaisy

mere apno ne dya zakhm mujhy youn
sari duniya mein mera dil hi bara hai jaisy

Thursday, January 7, 2016

Main nay socha tha tri zulf kay saye mujh ko

Main nay socha tha tri zulf kay saye mujh ko
Rah e hasti ki musafat mein sahara dain gay

Teray rukhsar ki gulrang damak
Na umeedi kay andheron say bachayay gi mujhay
Main nay socha tha tra piyar mray jiwan mein
Phool aashaon kay mehkyay ga

Jin ki anmol mehek
Rooh ban kar mray ehsas mein bas jayay gi
Kamyabi mray qadmon ki blaen legi
Shadmani mra hr naqsh e qadm choomay gi

Mri qismat keh mra khawab adhoora hi raha
Kachchay dhagay ki tarah toot gaya ahd e wafa

Umr bhar kay liyay ek dagh raha sinay mein
Kitnay anjan andheron nay mujhay gher liya

Rahzan toot parday loot liya zad e safar
Main nay socha keh unhen jan e hazin bhi dedon
Ek bekaar sa, ye baar e giran

Lay kay kahan jaon ga

Tuesday, January 5, 2016

Bharpoor jawani mein jis dam, tayyaar nazar ho jati hai



Bharpoor jawani mein jis dam,
Tayyaar nazar ho jati hai
phir shiekh.o.brahman koi ho,
Har aik ky sar ho jati hai

chehry se hataa kar zulfoun ko,
Jab wo ik jhatkaa dety hain,
Din meri taraf ho jata hai,
aur raat udhar ho jati hai !

Friday, January 1, 2016

Ek aarzoo hai puri parwardigar kare


Ek aarzoo hai puri parwardigar kare,
main dair se jaon wo mera intzar kre.

Apne hathon se sanwarun zulfain uski,
wo shrma kr mohabbat ka iqrar kre.

Lipat jay mjhse aalm-e-madhoshi men,
or josh-o-janun men mohabat ka izhar kre.

Ho shab-e-wisal aesi ya rab!,
k bheegi zulfon se mujhe bedaar kre.

Jab use chor k jana chahun wasi,
wo roke or ik raat ka israr kre,

qasam khuda ki main kisi or ki ho nhi sakti
ye wada-e-wafa wo bar bar kre.