Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label mosam poetry. Show all posts
Showing posts with label mosam poetry. Show all posts

Tuesday, December 29, 2015

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisy


Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisy
Hum ehd-e-muhabbat se mukartay bhi to kaisy

Wo shakhs to yaklakht hi hat jata tha peechhay
hum toot k qadmon main bikhartay bhi to kaisy

Ilzaam ye aata k tujhay bhool gaye thay
Aye dost! Tujhay yaad jo kartay bhi to kaisy

Kia khaak muqaddar se koi hum ko gila ho
Bigron k muqaddar thay, sanwartay bhi to kaisy

Mehroom hi rehtay jo tere radd- e-amal say
Aye jaan! Tere pyaar main martay bhi to kaisy

Jeevan hi guzara tha thapairon main jo hum nay
Hum ab kisi toofaan se dartay bhi to kaisy

Ek paaki-e-damaan pe sada naaz raha tha
Darya-e-muhabbat main utartay bhi to kaisy

Har roz ki zillat bhi gawara to nahi thi
Us raah se hum roz guzartay bhi to kaisy

Jeenay ki saza daiti hay, jeenay nahi daiti
Dunya! Tera tawaan jo bhartay bhi to kaisy

Bach kar na nikal paaye saraab ishq se un kay
Dooba tha samandar main, ubhartay bhi to kaisy.

Friday, December 25, 2015

Rang To Laye Gi Sawan Ki Ghata Merey Ba'ad


Rang To Laye Gi Sawan Ki Ghata
Merey Ba'ad
Tuj Ko Tarpa'ey Gi Sawan Ki
Ghata Merey Ba'ad
Ek Ek Bond Ko Tarsi Hon Magar
Janti Ho
Jhoom Kar Aaye Gi Sawan Ki
Ghata Merey Ba'ad
Yeh Ghata Surkh Hai,Lagta Hai
Kuch Aisa Mujhey
Khon Barsaye Gi Sawan Ki Ghata
Merey Ba'ad
Kis Qadar Garam Hawa Hai K
Badan Toot'ta Hai
Aag Barsaye Gi Sawan Ki Ghata
Merey Ba'ad
Haan Rulaya Hai Bohaat Aur
Sataya Hai Bohaat
Kis Ko Tarpa'ey Gi Sawan Ki
Ghata Merey Ba'ad

Ye kiya k sab se bayaan dil ki haalaten karni


Ye kiya k sab se bayaan dil ki haalaten karni
`Faraz` tujh ko na aain Muhabbaten karani

Ye qurb kya hai k tu saamane hai aur hamen
Shumaar abhi se judaai ki sa`aten karani

Koi khudaa ho k patthar jise bhi hum chaahen
Tamaam umr usi ki ibaadaten karani

Sab apane apanee qarine se muntazir us k
Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani

Hum apne dil se hain majabuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani

Milen jab un se to mubaham si guftaguu karana
Phir apane aap se so-so vazaahaten karani

Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain
Hamin to raas na aain muhabbaten karani

Kabhi `faraz` naye mausamon men ro denaa
Kabhi talaash puraani raqaabaten karani.