Jis simt bhi dekhoun nazar aata hai ke tum ho
ae jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai ke tum ho
ae jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai ke tum ho
yeh khwaab hai khushboo hai ke jhounka hai ke pal hai
Yeh dhund hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho
Is deed ki sahaat main kaiye rang hain larzaan
Mein houn ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
Dekho yeh kisi aur ki aankhain hain ke meri
Dekhoun yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
yeh umr-e-gurezaan kahin thehry to yeh jaanoon
har saans main mujh ko yeh lagta hai ke tum ho
har bazm main mauzoo-e-sukhan dil zadgaan ka
ab kaun hai shireen hai ke laila hai ke tum ho
ik dard ka phaila hua sahara hai ke mein houn
ik mauj main aaya huaa dariya hai ke tum ho
woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochy
is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho
aabaad hum aashufta saron se nahi maqtal
yeh rasm abhi shehar main zinda hai ke tum ho
ae jaan-e-faraz itni bhi taufeeq kise thi
hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho
No comments:
Post a Comment