Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday, January 29, 2016

Ager tum dhoundhna chaho, tou main tum ko, khizan-raseeda,

Ager tum dhoundhna chaho,
tou main tum ko,
khizan-raseeda,
be-saaya darakhton main milon ga,
jahan mehtab si mehroom

raaton ko khizan araam kerti hai,
jahan girte howe patton k matam main,
nawa ka saaz shamil hai,
meri awaaz shamil hai,
ager tum dhoundhna chaho,
tou main tum ko,
kisi weeran basti main,
kisi be-aab sehra main milon ga,
k main sehra ki urrti rait k zarron ka hissa houn,
koi bhooli kahani houn,
koi qissa purana houn,
kisi din tum jo aa niklo,
kisi weraan qariye main,
kisi aise kharabe main,
jahan koi nahi rehta,
jahan tareek raton ko,
khamoshi cheekh ker apne makinon ko bulati hai,
achanak is kharabe main,
kahin betha howa dekho,
kisi tanha musafir ko,
tou phir itna samjha lena k tum ne pa lia mujh ko,
ager tum dhoundna chaho...!!!

No comments:

Post a Comment