Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label badal poetry. Show all posts
Showing posts with label badal poetry. Show all posts

Saturday, March 12, 2016

Aanchal Teri Yadoon Ka Bhigo Deti Hai Barish,



Aanchal Teri Yadoon Ka Bhigo Deti Hai Barish,
Sochoon Pe Jami Gard Ko Dho Deti Hai Barish.

Hans Hans K Sunaati Hai Jahan Bhar K Fasanay,
Poochhon Tere Baare Mein Tu Ro Deti Hai Barish!

Lagte Hain Piyaare Meri Aankhon Ko Ye Manzar,
Hairat! Mere Ehsas Ko Wo Deti Hai Barish!

Yaadoon Ki Mehak Ho Ya Tere Hijr K Taanay,
Chup Chaap Main Rakh Leta Hoon Jo Deti Hai Barish!

Mujh Par Tu Jo Karti Hy So Karti Hai Inayat,
Moti Tere Baalon Mein Piro Deti Hai Barish.

Tuesday, January 26, 2016

Dil chahta hai badal ayain ghor andhaira cha jaye

Dil chahta hai badal ayain
ghor andhaira cha jaye
badal cham cham toot ke barsain
sara sheher naha jaye
main bhi us baarish main bheegoon
sab kuch bhool ke nachoon gaoon
khulay aasman ke neechay
darakht main jhoola dal ke jhooloon
baarish barasti jaye
aur main itna bheegoon ke
saray dukh aur gham aur yadain
sab us main beh jayain
har pachtawa aur har sapna
har khwahish beh jaye
aay mere malik
kabhi to aisa sawan aye

Wednesday, January 6, 2016

Saawan men barsaat zaroori hoti hey

Saawan men barsaat zaroori hoti hey
Dil se dil ki baat zaroori hoti hey

Jagmag kertay chaand k pehloo men
Taaron ki baaraat zaroori hoti hey

Is jeewan men har pal jeetnay waalay ko
Kabhi kabhi to maat zaroori hoti hey

Din ki shaan o shookat qaaaim rakhnay ko
Andhi kaali raat zaroori hoti hay

Piyaar naveed zaroori hey yun jeenay ko

Jaisay apni zaat zaroori hoti hay

Dil chahta hai badal ayen, Ghor andhaira cha jaye

Dil chahta hai badal ayen
Ghor andhaira cha jaye

Badal cham cham toot ke barsain
Sara sheher naha jaye

Main bhi us baarish main bheegoon
Sab kuch bhool ke nachoun gaoon

Khulay aasman ke neechay
Darakht main jhoola dal ke jhooloun

Baarish barasti jaye
Aur main itna bheegoon ke

Saray dukh aur gham aur yadain
Sab us main beh jayain

Har pachtawa aur har sapna
Har khwahish beh jaye

Aay mere malik!

Kabhi to aisa sawan aye

Friday, December 25, 2015

Dil Chahta hai Badal ayain Ghor andhaira cha jaye


Dil Chahta hai Badal ayain
Ghor andhaira cha jaye
Badal cham cham toot ke barsain
Sara sheher naha jaye
Main bhi us baarish main bheegoun
Sab kuch bhool ke nachoon
gaoon
Khulay aasman ke neechay
Darakht main jhoola dal ke
jhooloon
Baarish barasti jaye
Aur main itna bheegoon ke
Saray dukh aur gham aur yadain
Sab us main beh jayain
Har pachtawa aur har sapna
Har khwahish beh jaye
Aay mere Malik!
Kabhi to aisa sawan aye