Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Showing posts with label saza poetry. Show all posts
Showing posts with label saza poetry. Show all posts

Friday, January 29, 2016

Tumhain mujh ko satana hai? Chalo jee bhar k tang ker lo

Tumhain mujh ko satana hai?
Chalo jee bhar k tang ker lo...
K ye bachon ki aadat hai,
khilone haath main hon to,
zara bhi dum nahi lete,
magar thehro.....
Kabhi aisa bhi hota hai,
isay bhi zehen main rakhna,
zara see be-dheyani main,
zara see be-khayali main,
inhain ziada satao to,
ye akser rooth jate hain,
khilone toot jate hain...!!!

Wednesday, January 27, 2016

Ik bar hi chahat ki saza kyu'n nahee'n daity

Ik bar hi chahat ki saza kyu'n nahee'n daity
Zinda hoo'n tau marne ki dua kyu'n nahi daity

Ik aag jo bujhti na bharkti hai ziyada
Us aag ko daman ki hawa kyu'n nahi daity

Bichry huwe lamhe bhi kabhi laut k aye?
Bichry huwe lamho'n ko bhula kyu'n nahi daity

Darya mai pukare chaley jate ho humainsha
Sehrao'n mai sawan ko sada kyu'n nahi daity

Dekho na! Kayee yar boht khauf zada hain

Pal bhar ko charago'n ko bujha kyu'n nahi daity