Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Saturday, January 30, 2016

Wo ashk ban k mere chashm-e-tar mein jab aya

Wo ashk ban k mere chashm-e-tar mein jab aya
Sha'or soz-e-muhabbat ka mujh ko tab aya

Adhoray pan ka tamasha hai meray charon taraf
Yahan pe koi nahi jis k hissay mein sab aya

Phir us k bad zaba'n qaid ho gai meri
Bus aik bar tera nam zer-e-lab aya

Na sajda haye aqeedat mein be-khudi utri
Na khak-e-hast ko urrane ka koi dhab aya

Jissay yaqeen ho awaragi k maslik par
Ussay khayal dil-e-dar-badar ka kab aya

Ameer-e-shehar ne ahoo'n pe jab saza rakh di
Ghareeb-e-shehar ko tab yad apna 'rab' aya

Sufaid ho gaye jo sar k bal bhi
Humaray gaoo'n ka beta palat k ab aya

No comments:

Post a Comment