Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Saturday, January 30, 2016

Karb chehre se maah-o-saal ko dhoya jaye



Karb chehre se maah-o-saal ko dhoya jaye
aaj fursat se kaheen beth k roya jaye

phir kisi nazm ki taameer uthai jaye
phir kisi jism ko lafzon mein samoya jaye

kuch to ho raat ki sarhad mein utrney ki saza
garam suraj ko samundar mein daboya jaye

itni jaldi to badalte nahi houn ge chehre
gard-aalood hain aayino ko dhoya jaaye

mout se khauf-zada, jeeney se be-zaar hain log
aise moqay pe hansa jaaye ya roya jaye

No comments:

Post a Comment