Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday, January 29, 2016

Bachpan k dukh kitne achhe hote thay,

Bachpan k dukh kitne achhe hote thay,
tub to sirf khilone toota kerte thay,

wo khushian jaane kesi khushian theen?
Titli k pur noch ker uchhla kerte thay,

paaon maar k baarish k paani main,
khud apni naao duboya kerte thay,

ab sochen to *** si parrti hai dil pe,
rait k gharonde bana ker torra kerte thay,

chhote thay to makr-o-fareb bhi chhote thay,
daana daal ker chirrya pakrra kerte thay,

apne jal jaane ka khof bhi na tha humain,
jub jalte shoulon ko tang kia kerte thay,

khushboo k urrte he kyon murjha jate hain phool?
Kitne bhole-pan se hum poocha kerte thay,

aaj bhi wo taabeerain lahoo lahoo rulati hain,
bachpan main jo hum sapne dekha kerte thay,

ab to aik aansoo bhi ruswa ker jaata hai,
bachpan main tou jee bhar k ro lia kerte thay...!!!

No comments:

Post a Comment