Main Nay Iss Toor Say Chaha Tujhay Aksar Janan
Jaisay Mehtab Ko Bay Antt Samandar Chahay
Jaisay Sooraj Ki Kiran Seep K Dil Main Utray
Jaisay Khushboo Ko Hawa Rang Say Hat Ker Chahay
Jaisay Pathar K Kalaijay Say Kiran Pothtee Hay
Jaisay Gunchay Khulay Musam Say Hina Mangtay Hain
Jaisay Khaboun Main Khayaloun Ki Kaman Toot Tee Hay
Jaisay Barish Ki Dua Abla Pa Mangtay Hain
Maira Har Khab Mairay Sach Ki Gawahi Day Ga
Wusatedeed Nay Tujh Say Tairee Khahish Ki Hay
Mairee Sochoun Main Kabhi Daikh Sarapa Apna
Main Nay Duniya Say Alag Tairee Parastish Ki Hay
Khahishedeed Ka Musam Kabhi Dundhla Jo Hua
Nooch Dali Hain Zamanoun Ki Naqabain Main Nay
Tairee Palkoun Pay Utartee Hoie Subhoun K Liye
Tood Dali Hain Sitaroun Ki Tanabain Main Nay
Main Nay Chaha Tairay Husn Ki Gulzar Fiza
Mairee Ghazloun Ki Qataroun Say Dakhaktee Jaye
Main Nay Chaha K Mairay Fan K Gulsitan Ki Bahar
Tairee Ankhoun K Gulaboun Say Mahaktee Jaye
Tay To Ye Tha K Sajata Rahay Lafzoun K Kanwal
Mairay Khamosh Khayaloun Main Takalum Taira
Raqs Kerta Rahay Bhirta Rahay Khushboo Ka Khumar
Mairee Khahish K Jazeeroun Main Tabasum Taira
Tu Magar Ajnabi Mahool Ki Perwerda Kiran
Mairee Bhujhtee Hoie Ratoun Ko Sehar Kar Na Saki
Tairee Sansoun Main Maseehaie Thee Lekin Tu Bhi
Charaezakhumedeedaetar Kar Na Saki
Tujh Ko Ahsas Hi Kab Hay K Kisi Dard Ka Dagh
Ankh Say Dil Main Utar Jaye To Kiya Hota Hay ?
Tu K Seemab Tabiyat Hay Tujhay Kiya Maloom ??
Musamehijr Tahar Jaye To Kiya Hota Hay ??
Tu Nay Uss Moor Pay Toda Hay Taluq K Jahan
Daikh Sakta Nahin Koie Bhi Palay Ker Janan
Abb Ye Alam Ha K Ankhain Jo Khulain Ge Apnee
Yad Aye Ga Tairee Deed Ka Manzar Janan
Mujh Say Mangay Ga Tairay Ahedemuhubat Ka Hisab
Tairay Hijran Ka Dahkta Hua Mahshar Janan
Yooun Mairay Dil K Barabar Taira Gham Aya Hay
K Jaisay Shheshay K Muqabil Pathar Janan
Jaisay Mahtab Ko Bay Antt Samandar Chahay

No comments:
Post a Comment