Iss Qadar Gor Se Uss Shakas Ko Dekha Na Karo
Wo Bhare Ghar Ka Adi Hai Usse Tanha Na Karo
Wo Bhare Ghar Ka Adi Hai Usse Tanha Na Karo
Shor Mein Dab Na Rah Jay Tumhari Awaz
Shahr Mein Agar Khao Zakham Toh Chikha Na Karo
Gar Wo Adi Na Raha Dhoop Na Seh Pay Ga
Chand Lamhun Ka Kisee Shaks Pe Saya Na Karo
Dostooun Ne Jo Diay Hain Tumhain Palkun K Liay
Aisee Moti Ser-E-Mehfil Toh Lutaya Na Karo
Zard Chehray Per Jo Ghazay Ka Gulabi Pan Hai
Bhiegi Ankhooun Se Tum Isko Rang Ko Ruswa Na Karo
Sookhay Patun Ki Sadaoun Se Karo Samjhota
Waqt Se Pehle Bahroun Ki Tamana Na Karo
Mand Par Jay Humera Na Damak Chehrooun Ki
Pichlay Khoaboun Ko Ser-E-Bazm Sunaya Na Karo
No comments:
Post a Comment