Apne ghar ki khidki se main aasmaan ko dekhoun ga,
jis par tera naam likha hai uss taare ko dhoondoun ga.
Tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dehleez par rakhna,
main bhi roz ek khwaab tumhare shehar ki jaanib bhejoun ga.
Aur hijr ke dariya mein tum padhna lehron ki tahreeren bhi,
paani ki har satr pe main kuchh dil ki baaten likhoun ga.
Jis tanha se ped ke neeche hum baarish mein bheege the,
tum bhi uss ko chhoo ke guzarna main bhi uss se liptoun ga.
Khwaab musaafir lamhon ke hain saath kahan tak jaayenge,
tum ne bilkul theek keha hai main bhi ab kuchh sochoun ga.
Baadal odh ke guzrunga main tere ghar ke aangan se,
qaus-e-qaza ke sab rangon mein tujh ko bheega dekhoun ga.
Be-mausam baarish ki soorat der talak aur door talak,
tere dayaar-e- husn pe main bhi kin-min kin-min barsoun ga.
Sharm se dohra ho jaayega kaan pada woh bunda bhi,
baad-e-saba ke lahje mein ek baat main aisi poochhoun ga.
Safha safha ek kitaab-e-husn si khulti jaayegi,
aur ussi ki layy mein phir main tum ko azbar kar lung a.
Waqt ke ek kankar ne jis ko akson mein taqseem kiya,
aab-e-rawan mein kaise ‘amjad’ ab woh chehra jodoun ga. !!