Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Tuesday, April 25, 2017

Is Dard Ky Chakar Sy Nikla Hai Kabi Koi

Is Dard Ky Chakar Sy Nikla Hai Kabi Koi

Is Dasht Main Lazim Hai Umroun Ka Guzer Jana


Bohat Majboor Aankhain Thi Bohat By Rabt Jumly Thy

Bohat Majboor Aankhain Thi Bohat By Rabt Jumly Thy

Zaroorat Ko Bayan Kerny Sy Yeh Khud’dar Qasir Tha


Choro Yeh Behs O Takrar Ki Baatain

Choro Yeh Behs O Takrar Ki Baatain

Yeh Btao Bichr Ky Khush To Ho Na??


Dyar E Misr Main Dekha Hai Hum Ny Dolat Ko

Dyar E Misr Main Dekha Hai Hum Ny Dolat Ko

Sitam Zareef Paighamber Khareed Leti Hai


Door Reh Ker B Jo Samaya Hai Meri Rooh Main

Door Reh Ker B Jo Samaya Hai Meri Rooh Main

Paas Waloun Per Wo Shakhs Kitna Asar Rakhta Ho Ga


Hum Sy Hamkalam Hona To Adab O Adaab Seekh Lena

Hum Sy Hamkalam Hona To Adab O Adaab Seekh Lena

Lehjy Ki Talkhiyoun Ko Hum Moun Py Maar Dety Hain


Ab Kon Samjhaye In Aamiloun Ko

Ab Kon Samjhaye In Aamiloun Ko

Mehboob Dil Main Hota Hai Qadmoun Main Nai


Ab Mery Ta’aruf Sy Guraizan Hai Tu Lekin

Ab Mery Ta’aruf Sy Guraizan Hai Tu Lekin

Kal Tak Teri Pehchan Ka Mayar B Main Tha


Aadat Hi Bana Li Hai Tum Ny To Munir Apni

Aadat Hi Bana Li Hai Tum Ny To Munir Apni

Jis Shehr Main B Rehna Uktaye Huye Rehna


Aya Hai Izraail Ab Uthany Ky Wasty

Aya Hai Izraail Ab Uthany Ky Wasty

Ae Aitkaaf E Ishq, Ibadat Tmam Shud


Mairaj e Muhammad ny kia



Mairaj e Muhammad (SAWW) ny kia raaz jo afshaan
Wo raaz khalaoun sy hawa pooch rahi hai

Phelaye huye gosha e damaan e tajassus

Science bi Muhammad ka pata pooch rahi hai

Wednesday, March 1, 2017

Kashti B Nahi Badli Darya B Nahi Badla

Kashti B Nahi Badli Darya B Nahi Badla
Or Dobnay Walon Ka Jazba B Nahi Badla

Hay Shoq-E-Safar Aisa Ik Umr Hy Yaro
Manzil B Nahi Paai Rasta B Nahi Badla

Anaa Ki Bat Hai Warna Muhabbat Ab Bi Baqi Hai

Anaa Ki Bat Hai Warna Muhabbat Ab Bi Baqi Hai
Tujhy Meri, Mujhy Teri Zarorat Ab Bi Baqi Hai

Agar Mushkal Koi Dar Pesh Aay To Laut Aana Tum
Tumhary Wasty Dil Me Aqeedat Ab Bi Baqi Hai

Teri Ankhoun Ki Chilman Main Sitary Jilmalaty Hain
Teri Aankhoun Main Halki C Shararat Ab Bi Baqi Hai

Ajab Khela Hai Mery Sath Kuch Khail Kismat Ne
Sar e Manzal Khara Hoon Aur Masafat Ab B Baqi Hai

Dil Ki Dharkan Mein Tum Ko Chupa Lain Abi

Dil Ki Dharkan Mein Tum Ko Chupa Lain Abi
Jo Hai Mann Mein Kaho To Sunaa Lain Abi

Tum Ko Chahte Hain Hum Kis Kadr Jaan E Jaan
Gar Bataen To Guzrain Zamane Abi

Youn To Rah-E-Mohabbat Hai Mushkil Magar
Tu Jo De Sath Manzil Ko Pa Lain Abi

Teri Aankhon Mein Ansoo Na Aein Sanam
Gr Jo Aein To Palkain Bicha Lain Abi

Tum Jo Kehte Ho Ky Aaoun Ga Eid Par

Kyun Na Hum Eid Ghar Par Mana Lain Abi

Bas Aik Tu Tha Jise Raigaan Kia Mein Ne

Bas Aik Tu Tha Jise Raigaan Kia Mein Ne


Aur Aik Ishq Tha Jo By Panah Mujhse Hua

Wohi Darpaish Hy Phr Zindagi Khwabon Khyaloun Ki

Wohi Darpaish Hy Phr Zindagi Khwabon Khyaloun Ki
Kahan Hy Ab Tumhari Wo Muhabbat Itnay Saloun Ki

Agr Mery Muqadar Me Andhera Hi Andhera Tha
Kahani Kiyun Sunai Thi Muje Tum Ne Ujaaloun Ki

Bara Hy Farq Dono Me, Mgr Dilchasp Hain Dono
Teri Duniya Jawaboun Ki, Meri Duniya Sawaloun Ki

Tumhn Jb Sy Me Likhta Hn, Tumhn Jb Sy Me Prhta Houn
Zrurat Hi Nhi Parrti Kitaboun K Hawaloun Ki

Taalluq Jorna Or Torna Tm Sy Koi Sekhy
Kahan Sy Aa Gai Tm Ko Maharat Aisi Chaloun Ki

Shagufta Dil Ko Rakha Hy Faqat Is Waasty Mohsin

Zarurat Phr Na Par Jaye Tumhen Meri Misaloun Ki

Kyun Tu Acha Lagta Hai , Waqt Mila To Sochain Gy

Kyun Tu Acha Lagta Hai , Waqt Mila To Sochain Gy
Tujh Mein Kya Kya Dekha Hai, Waqt Mila To Sochain Gy

Sara Sheher Shanasai Ka , Dawedar To Hai Lekin
Kon Hamara Apna Hai , Waqt Mila To Sochain Gy

Hum Ne Usko Likha Tha , Kuch Milne Ki Tadbeer Karo
Us Ne Likh Ker Bheja Hai , Waqt Mila To Sochain Gy

Mosam Khushbu Baad-E-Saba Chand Shafaq Aur Taron Mein
Kon Tumhare Jaisa Hai ,Waqt Mila To Sochain Gy

Ya To Apne Dil Ki Mano , Ya Phir Duniya Walon Ki

Mashwara Uska Acha Hai ,Waqt Mila To Sochain Gy