Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday, December 18, 2015

Yeh Eid Teray Sheher Me Bhi Ai Hogi.



Yeh Eid Teray Sheher Me Bhi Ai Hogi. 
Barry Naaz Sy Tu Nay Bhi Manayi Hogi. 
Haseen Haath Pay Mehandi Bhi Lagayi Hogi. 
Narm C kalayi Chorriyon say Sajayi Hogi. 
Sitaray Bhi taankay Hoon Gay Tum Nay Maan Mein Apni 
Marnareen Paaon Pazaib Bhi Pehni Hogi. 
Aankhon Mein Kajal Bhi Lagaya Hoga. 
Rukhsaron Pay Laali Bhi Bikhhri Hogi. 
Ajab Ci khushi Sy Dil Bhi Dharka Hoga. 
Koi Chahnany Wala Jab Eid Mila Hoga.

Main jab Us se kehta hoon




Main jab Us se kehta hoon 
Mujay Tum se Muhabat hy 

Nafi me Sar hilata hy 
Nigahon ko Jhukata hy 
Hatheli Samnay rakh k 
Kisi ka Naam likhta hy 

Muthi band krta hy 
Aankhon se lagata hy 
Phir usko Choom leta hy 
Achank bol uth-ta hy 

Mujhe is se Muhabat hy 
Yehi to Mera sab kuch hy 
Yeh sab kuch samnay Pa k 
Men Be-Zaar hota hoon 

Mujhe Be-Zar pata hy 
to Khud b reh nahi pata 
Muthi Khol deta hy 
Jo Muthi khol deta hy 
Mera hi naam hota hy 
Mujhe wo yun satata hy

Jaagein Ge Kisi Roz To Is Khuwaab-e-Tarab Se,



Jaagein Ge Kisi Roz To Is Khuwaab-e-Tarab Se, 


Hum Phool Hi Chuntay Rahay, Baghicha-e-Shab Se, 


Phir Aik Safar Aur Wohi Harf-e-Rafaaqat, 
Samjhay Thay Guzar Aaye Hum, Teri Talab Se, 

Khush Dil Hai Agar Koi To, Kiya Uss Ka Yahaan Kaam, 
Ye Bargaah-e-Gham Hai, Qadam Rakho Adab Se, 

Ab Mausam-e-Jaan Se Bhi Yaqeen Uthne Laga Hai, 
Dekha Hai Tujhe Rung Badalte Huwey Jab Se, 

Yahan Bhi Wohi Begana Ravi Apni Khuda Si, 
Mangi Jo Kabhi Koi Dua Shehar K Rab Se, 

Choonki Hoon To Dekha K Wo Humraaz Nahi Hai, 
Uljhan Main Hoon Kis Baat Pe Kis Morr Pe, Kab Se, 

Ye Darkhor-e-Hungama To Pehle Bhi Kahaan Thi, 
Hol Aaye Magar Aaj To Viraan-e-Shab Se, 
Kuch Dost Bhi Ziyada Masroof Howay Aur Kuch, 

Hum Door Hain, Afsurdagi-e-Dil K Sabab Se ..

Tumhein Jo Mere Gham-e-Dil Se Aa-Gahi Ho Jaaye,



Tumhein Jo Mere Gham-e-Dil Se Aa-Gahi Ho Jaaye, 

Jigar Main Phool Khilen, Aankh Shabnami Ho Jaaye, 

Ajal Bhi Us Ki Bulandi Ko Chhu Nahi Sakti, 
Wo Zindagi Jissay Ehsaas-e-Zindagi Ho Jaaye, 

Yehi Hai Dil Ki Halakat, Yehi Hai Ishq Ki Maut, 
Nigaah-e-Dost Pe Izhaar-e-Be-Kasi Ho Jaaye, 

Zamaana Dost Hai Kis Kis Ko Yaad Rakho Gay, 
Khuda Kare Tumhein Mujh Se Dushmani Ho Jaaye, 

Siyaah Khana-e-Dil Main Hai Zulmaton Ka Hujoom, 
Charagh-e-Shauq Jalao K Roshni Ho Jaaye, 

Ajal Ki Goud Main Qabil Huwi Hai Umar Tamaam, 
Ajab Nahi K Meri Maut Zindagi Ho Jaaye,

Hum to nadaan hain, kya samjhengy usool-e-muhabbat


Hum to nadaan hain, kya samjhengy usool-e-muhabbat,,, 
busss, Tujhe chaha tha tujhe chahtay hain 0r tujhe hi chahengY...

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi



Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi

Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi


Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali

Apni Tasveer Se Kia Aankh Milati Hogi ?


Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Meray Ashkon Say

Meray Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi


Shaam Hotay Hi Wo Chokhat Pay Jala Kar Shamain

Apni Palkon Pay Kayi Khwaab Sulati Hogi


Us Nay Silwa Bhi Liye Hongay Siya Rang Libaas

Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi


Hoti Hogi Meray Bosay Ki Talab Main Pagal

Jab Bhi Zulfon Main Koi Phool Sajati Hogi


Meray Tareek Zamano Say Nikalnay Wali

Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi\


Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi

Joon Hi Tasveer Ka Kona Wo Jalati Hogi


Roop Day Kar Mujhay Us Main Kisi Shehzaday Ka

Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi

Bharosa Cheez Hai Aisi Judaa Hony Nahi Dega.



Bharosa Cheez Hai Aisi Judaa Hony Nahi Dega. 
Muqadas Piyaar Hai Apna Khata Hony Nahi Dega. 

Bhatak Jaaingy Rahon Mein Bichar Jaaingy Hum Dono. 
Na Ghabrao Kabhi Aisa KHUDA Hony Nahi Dega. 

Zamany Mein Jo Teri Soch K Bilkul Mukhalif Ho. 
Ye Dil Aisa Koi Bhi Faisla Hony Nahi Dega. 

Qasam Teri Jala Doon Ga Mein Us Ko Apni Aahun Sy. 
Agar Ye Shahir Apna Rabta Hony Nahi Dega. 

Youn Hi Apni Mohabbat Ye Agar Parwaan Charhti Hai. 
To Ye Phir Waqat Bhi Hum Ko Juda Hony Nahi Dega. 

Bura Insaa'n Nahi Hota, Bura Kirdaar Hota Hai. 
Bura kirdaar Hi Kisi ko Acha Hony Nahi Dega. 

Tu Apny Khuda Par Yaqeen Gar Yaar Rakhtaa Hai. 
Siwaa Tery Basy Koi Nida Hony Nahi Dega.

Adhorey Khawab k Andar

Adhorey Khawab k Andar 
Kabhi Palkein Bichana Mat 

Adhorey Aankhon Ko Bahut Takleef Detay Hein 
Adhoori Yaad Ko Dil Ki Zameen Mein Tum Nahi Bona 

Adhori Yaad Dharkan Mein Bohat Chubti , Sisakti Hai 
Khalish Ban Ker Khatakti Hai 

Laho Mein Bijliyan Ban Ker Bhatakti Hai 

Adhorey Piyaar Ko Lekin Chalo Janey Do Is ko Tum 
Muhabbat , Piyaar , Chaahat , Ishq , Hotey Hi Adhorey Hain...

Kya lage raat ke phir dil mein samaya koi



Kya lage raat ke phir dil mein samaya koi 

Raat bhar phirta hai is sheher mein saya koi 

Fikr yeh thi ke shab e hijar kattey gi kyun kar 
Lutff yeh hai ke humain yaad na aaya koi 

Shauk yeh tha ke mohabbat mein chalein ge chup chap 
Ranj yeh hai ke tamasha na dikhaya koi 

Sheher mein humdum dereena bohat they 
Waqt parney par mere kaam na aya koi

Ik Umer Talak Ashk Fishani Mein Raha Hai


Ik Umer Talak Ashk Fishani Mein Raha Hai 

Aey Ishq Tera Dard Rawani Mein Raha Hai 

Ye Chhorr Mere Saath Kabhi Tha K Nahi Tha 
Wo Shakhs Magar Meri Kahani Mein Raha Hai 

Ik Hijar Tere Bad Rag.e.Jaan Mein Utar Kar 
Ta Umer Phir Alfaaz.o.Maani Mein Raha Hai 

Sehra Se Tere Dil Ki Guzar Gaah Talak 
Dil Roz Nayi Naqal Makani Mein Raha Hai 

Wo Saath Nahi Mere Magar Sach Hai Ye Mohsin 
Wo Shakhs Sada Aankh K Pani Mein Raha Hai

Thursday, December 17, 2015

Zindagi To Basar Ho Rhi Hy Lakin Aik Hajat Hy

Zindagi To Basar Ho Rhi Hy Lakin Aik Hajat Hy
Tera Roza Dakhna Hy Bs Aik Hajat Hy
Try Rozy K Samny Jana Hajat Hy
Or Dakhty Hi Mar Jana Hajat Hy
Hajat Hy K Mout Aye Tery Rozy K Samny
Dafnaya Jao Janat Ul Baqi Mei Hajat Hy
Hjat Hy K Mje Mily Wo Taak Raat
Jis Mei Sarkar Ayen Or Kahain Ay Hajat Wr
Tje Mil Jae Ga Wo Sb Jo Teri Hajat Hy

Ly aya yaar ki yaadain



_'"Lyy Aaya Yaar ki yaadien Apne ssath
,,,*
"
A December
"
_'Is baar bhee Tu ny Acha nahe kiya...*

Friday, November 20, 2015

Khuda kary meri arz e paak per utry

Khuda kary meri arz e paak per utry
wo fasl e gul jisy andesha e zawal na ho

Friday, November 21, 2014

Umeed


امید کے جگنو کے بڑھے ہاتھ تھامیں۔۔۔۔۔۔۔زندگی بہت بامقصد لگنے لگے گی۔ :)

کبھی کبھی ہوتا ہے نا کہ ہم خوش اور مگن ہوتے ہوئے بھی مطمئن نہیں ہوپاتے۔ زندگی ایک دائرے میں گھومتی محسوس ہوتی ہے اور تب ایک انجانی سی تھکن وجود کو اپنے حصار میں لے لیتی ہے۔ ہر سفر بے سمت، ہر کام بے معنی سا لگنے لگتا ہے۔ انہی سوچوں میں گھرا دیکھ کر مایوسی اپنے پر پھیلاتی ہے اور ناامیدی ہمارے دل و دماغ پر اپنے پنجے گاڑھ لیتی ہے۔ ناامیدی ہم سے وہ معمولی خوشیاں بھی چھین لیتی ہے جو ہر ابھرتے سورج کے ساتھ ہمیں چلتے رہنے کی ہمت دیا کرتی ہیں۔ بے انتہا شور میں گھرے ہوئے بھی ہمیں اپنے اندر صرف ایک مہیب سناٹا سنائی دیتا ہے۔ ۔ ۔ روشنیوں کی چکاچوند میں بھی ہر طرف اندھیرا چھاتا محسوس ہوتا ہے مگر اس اندھیرے میں بھی امید کے جگنو راستہ دکھانے کی طاقت رکھتے ہیں۔ بالکل اس کہانی کی طرح جس میں اندھیری رات میں بھٹکتے بلبل کو جگنو نے راستہ دکھایا تھا۔ امید کے جگنو زندگی کے بے مقصد دائروں میں بھٹکتے تھکن زدہ انسان کے ہاتھ تھامتے ہیں اور ناامیدی سے امید تک کا سفر طے کرواجاتے ہیں۔ سوچیں تو حیران رہ جائیں کہ ان معمولی، چھوٹی سی جانوں میں اتنی طاقت کہاں سے آجاتی ہے کہ یہ میلوں پھیلے سناٹے کو اپنی ذرّوں جیسی روشنی سے چیرنے میں کامیاب ہوجاتے ہیں۔ یہ طاقت انہیں امید دیتی ہے۔ امید انہیں یقین بخشتی ہے کہ اجالا کتنا ہی معمولی کیوں نہ ہو، اندھیرے پر حاوی ہونے کی صلاحیت رکھتا ہے۔ جیسے کالی رات میں سورج کی پہلی ننھی سی کرن کچھ سہمی ہوئی سی آگے بڑھنے سے گھبراتی ہے تو امید کے جگنو اس کے ہاتھ تھام کر اسے بھی اس خوف سے نکال لاتے ہیں۔ پھر اسے دیکھتے دیکھتے سورج کی بہت سی کرنیں اندھیرے کو اجالے میں بدلنے میں اس کے ساتھ آکھڑی ہوتی ہیں۔ اصل ہمت پہلی کرن کو کرنی ہوتی ہے۔ ۔ ۔ دقت کا سامنا اس پہلی کرن کو کرنا پڑتا ہے، مگر پھر امید کے جگنوؤں کے سہارے یہ آگے بڑھتی چلی جاتی ہے اور اس اندھیرے سے اجالے کے سفر میں بہت سی کرنیں اس کی ہم سفر ہوجاتی ہیں۔ اندھیرا جتنا بھی گہرا ہو، امید کے جگنو اس اندھیرے کو اجالے میں تبدیل کرسکتے ہیں۔ ضرورت صرف ان پر اعتماد کرنے کی ہے۔ ہاتھ بڑھائیے اور امید کے جگنوؤں کے بڑھے ہاتھ تھام کر ان کے ساتھ اجالے کے سفر میں شامل ہوجائیں۔ ۔ ۔ زندگی بہت با مقصد لگنے لگے گی۔؎


Wednesday, July 16, 2014

Us Ne Kaha Muj Se Tumhain Kitna Payar Hai



Us Ne Kaha Muj Se Tumhain Kitna Payar Hai
Maine Kaha Sitaro Ka Koi Shumar Hai

Us Ne Kaha Ke Kon Tumhain Hai Bohat Aziz?
Maine Kaha Ke Dil Pay Jise Ikhtiyar Hai

Us Ne Kaha Ke Kon Sa Tuhfa Hai Man Pasand?
Maine Kaha Wo Shaam Ko Ab Tak Udhaar Hai

Us Ne Kaha Khizan Mein Mulaqat Ka Jawaz?
Maine Kaha Ke Qurb Ka Matlab Bahar Hai

Us Ne Kaha K Muj K Yaqeen Aye Kis Tarah?
Maine Kaha Ke Naam Mera Aitbar Hai___

Main Kese Suna Raha Hun Ye Ghazal Mohabbaton Ki

Main Kese Suna Raha Hun Ye Ghazal Mohabbaton Ki
Kahin Aag Sazisho Ki Kahin Aanch Nafrato Ki

Koi Bagh Jal Raha Hai Ye Magar Meri Dua Hai
Mere Phool Tak Na Pohanche Ye Hawa Tamazto Ki

Mera Kon Sa Hai Mosam Mere Mosamo K Wali!
Ye Bahar Be Dili Ki Ye Khiza Murawato Ki

Main Qadeem E Baam O Dar Mein Unhain Ja K Dhondta Hun
Wo Diyare Tigato K Wo Fizayen Chahto Ki

Kahin Chad Ya Sitare Hoye Hum Kalam Muj Se
Kahin Phool Siriyon K Kahi Chariya Chato Ki

Mere Kaghazo Mein Shayed Kahin Ab Bhi So Rahi Ho

Koi Sobha Gulsita Ki Koi Shaam Perbato Ki___!!

Bhari Mehfil Mein Tanhai Ka Alam Dhond Leta Hon

 Bhari Mehfil Mein Tanhai Ka Alam Dhond Leta Hon
Jahan Jata Hon Apne Dil Ka Mousam Dhond Leta Hon

Akela Khud Ko Jab Mehsos Kerta Hon Kisi Lamhay
Kisi Umeed Ka Chehra Koi Gham Dhond Leta Hon

Boht Hansi Nazar Ati Hein Jo Ankhain Sar E Mehfil
Main In Ankhon Kay Pechay Chashm E Purnam Dhond Leta Hon

Gale Lag Ker Kisi Kay Chahta Hon Jab Kabhi Rona
Shiksta Koi Apne Jesa Ham Dam Dhond Leta Hon

Kelander Se Nahi Mashrot Mere Raat Din Sajid

Main Jesa Chahta Hon Wesa Mousam Dhond Leta Hon_!!

Dhoop Kay Dasht Mein Shishay Ki Radain Di Hein

Dhoop Kay Dasht Mein Shishay Ki Radain Di Hein
Zindagi Tune Hmain Kesi Sazain Di Hein

Sholo Jesi He Ata Ki Hein Solagti Bondain
Aag Barsati Hoi Hum Ko Gataye Di Hein

Ek Dua Go Ne Rafaqat Ki Tasali Day Ker
Umer Bhar Hijar Mein Jalne Ki Sazain Di Hain

Dil Ko Bujne Ka Bahana Koi Darkar Tu Tha
Dukh Tu Ye Hai Tere Daman Ne Hawaye Di Hein

Kesa Mahool Mila Hai Hamain Jine Kay Liye

Dene Wale Ne Hamain Kesi Fizain Di Hein__!!

Judaa bhi honay ka andheshaa seh nahin saktey

Judaa bhi honay ka andheshaa seh nahin saktey
Hum aik sheher mein ab khush bhi reh nahin saktey

Yeh roz-o-shab hain hamarey ke aik dusrey se
Chupaye phirtey hain ehwaal, keh nahin saktey

Shakist-e-zaat ka izhaar chahtey bhi nahin
Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahin saktey

Haqeeqton ki chattanain bhi apni raah main hain
Khayal-o-khawb ke daryaa main beh nahin saktey

Woh be’qasoor hai, aesi bhi koi baat nahin
Qasoor’waar hain hum, yeh bhi keh nahin saktey_!!

Paikar Tha Wafa Ka Mohabbat Ka Khuda Tha



Paikar tha wafa ka, mohabbat ka khuda tha
Woh shakhss zamaney mein sab se hi juda tha

Chahat ke khazaney they har lafz mein us ke
Daaman mera us ne duaaon se bhar tha

Mujh ko nahin dekha karri dhoop ne chu kar
Baba mera duniya main mujhe aesa jo mila tha

Fikrain na zamaney ki kabhi paas bhi ayin
Hard dard meri hasti se dartaa hi raha tha

Jab taka raha saanson ka basera mere andar
Tab tak main ghamon se bachta hi raha tha

Us shaam ki shiddat mere dil se nahin jati
Jis shaam tera saaya mere sar se utha tha___!!



Monday, November 25, 2013

Meri Maa..........


Ab k baras.........


Ab ky baras wo mujh sy mila to wo pehly jaisa na tha
Baatain woi thi chehra woi tha, lehja ab waisa na tha

badly us ny tewar apny tor dia sab wadoun ko
jany kis ki khatir badla pehly to aisa na tha