Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Thursday, January 28, 2016

Mohabbat karne walo me ye jhagra dal deti

Mohabbat karne walo me ye jhagra dal deti hai
siyasat dosti ki jar me matta dal deti hai

tawayaf ki tarah apne galat kammo ke chehre par
huqumat mandir-o-masjid ka parda dal deti hai

haqumat muh-bharai ke hunar se khub waqif hai
ye har kutte ke aage shahi tukra dal deti hai

kahan ki hijrate kaisa safar kaisa juda hona
kisi ki chah paro me dupatta dal deti hia

ye chiriya bhi meri beti se kitni milti julti hai
kahi bhi shakhe-gul dekhe to jhula dal deti hai

bhatakti hai hawas din-rat sone ki dukano me
garibi kan chidwati hai tinka dal deti hai

Me dehshat-gar tha marne pe "beta" bol sakta hai

Me dehshat-gar tha marne pe "beta" bol sakta hai
Hukumat ke iishare pe to "murda" bol sakta hai

Yahan par nafrato ne kasie kaise gul khilaye hain
Luti asmat bata degi  "duppta" bol sakta hai

Hukumat ki tawajjo chahti hai ye jali basti
Aadalat puchna chahe to "malba" bol sakta hai

Kai chehre abhi tak "muh-zabani' yad hain isko
Kahien tum puch mat lena ye "gunga" bol sakta hai

Bahut si kursiyan is mulk me "laashoun" pe rakhi hai
Ye wo sach hai jise jhut se jhutha bol sakta hai


Siyasat ki kasoti par parakheye mat "wafadari"
Kisi din intakaman mera "gussa" bol sakta hai

Daawar e hashr tujhe meri ibaadat ki qasam

Daawar e hashr tujhe meri ibaadat ki qasam
Ye mera naama e aaamaal izaafi ho ga


Nekiyaan gin ne ki naubat hi nahi aaye gi
Mainy jo maan pe likha hai wohi kaafi ho ga

Kabhi kabhi to mere pehran se aati hai

Kabhi kabhi to mere pehran se aati hai
wahi mehak jo tumhaare badan se aati hai

Humaare dil se to acha aayeena unka
ke toot-ta hai to aawaaz chann se aati hai

Humara gaon se rishta abhi nahi toota
abhi buzurgon ki khusboo wattan se aati hai

Kabhi weh khud hi ba nafse-nafees aata tha
abb uski yaad bhi kaafi jatan se aati hai

Main uske jism pe kafoor mal ke aaya tha
magar gulaab ki khushboo uske kafan se aati hai

Pani ka jall bunta hai dariya to phir buny

Pani ka jall bunta hai dariya to phir buny
tairaq janta hai hathle se katna

Rahta hai din me rat ke hone ka intazar
phir raat ko dawaoo ki goli se kaatna

Safed poshi tera aitbaar jaata hai

Safed poshi tera aitbaar jaata hai
Agar chiraag hawaaon se haar jata hai

Kadam badhane mein khatra hai maut ka lekin
Mein lautta hoon to sara waqar jata hai

Karain naseeb se shikwa ya mausamo ka gila
Badal ke raasta abr-e-bahaar jata hai

Mein apna lehja to tabdeel kar nahi sakta
Balaa se jaaye agar karobaar jata hai

Best poetry on MAA


labo par uske kabhi baddua nahi hoti
bas ek maan hai jo kabhi khafa nahi hoti


Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai


Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo
muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna


Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai


jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya

meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun

'munawwar' maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona
jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti

lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai

Saba ka seena banay safeena

Saba ka seena banay safeena
zara tabiyat rawan dawan ho

durood ki anjuman sajaoon
dahn mein jibrail ki zubaan ho

Khayal ho salsbeel jaisa
jal’oo mein lafzoon ka karwan ho

Mein apni sochoon ko aab e kausar
mein ghusl dy doun to imtihaan ho

Jis simt bhi dekhoun nazar aata hai ke tum ho

Jis simt bhi dekhoun nazar aata hai ke tum ho
ae jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai ke tum ho

yeh khwaab hai khushboo hai ke jhounka hai ke pal hai
Yeh dhund hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho

Is deed ki sahaat main kaiye rang hain larzaan
Mein houn ke koi aur hai duniya hai ke tum ho

Dekho yeh kisi aur ki aankhain hain ke meri

Dekhoun yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho

yeh umr-e-gurezaan kahin thehry to yeh jaanoon
har saans main mujh ko yeh lagta hai ke tum ho

har bazm main mauzoo-e-sukhan dil zadgaan ka
ab kaun hai shireen hai ke laila hai ke tum ho

ik dard ka phaila hua sahara hai ke mein houn
ik mauj main aaya huaa dariya hai ke tum ho

woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochy
is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho

aabaad hum aashufta saron se nahi maqtal
yeh rasm abhi shehar main zinda hai ke tum ho

ae jaan-e-faraz itni bhi taufeeq kise thi
hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho

Sheher-e-khyal-o-khwab mein abad ho gaya

Sheher-e-khyal-o-khwab mein abad ho gaya
Itna usy parha k mujy yaad ho gaya

Main aaj tak houn jis k faraib-o- hisar mein
Wo aur hi kisi ka mery bad ho gaya

Aandhi hawa ka saath nibhany k shok mein
Koi tabah hua koi barbad ho gaya 

Bazi-e-ishq kuch es tarah se haary yaro

Bazi-e-ishq kuch es tarah se haary yaro
zakham per zakham lagey dil pe humare yaro

koi to aisa ho jo ghao per marham rakhey
yun to dushman na bunno sare k sare yaro

bazm main ser ko jhukaye huye jo bethy hain
in ko mat cheroo yeh hain ishq k marey yaro

jinn main hoty thy kabhi meher o wafa k moti
in hi ankhoun main sittam k hain sharary yaro

dost hi apny jo kerny lageen nazr e tofaan
kaam nahi aty phir koi saharey yaro

sang gheroon ne jo marey to koi dukha na hua
mer gaye tum ne mager phool jo marey yaro

wo jo raha dil geer tumhari khatir
tum ne kya kya nahiin taney usy marey yaro

Tumharey rah badalney ki baat kis sey karoun

Tumharey rah badalney ki baat kis sey karoun
main apney khaab bhikharney ki baat kis sey karoun

abhi woh jaan-e-ghazal duor hai nighahoun sey
abhi main jaan sey guzarney ki baat kis sey karoun

abhi toh hijr ki tareekiyan hain dono taraf
abhi main chaand nikalney ki baat kis sey karoun

abhi toh ghammoon sey nidhaal hain sabhi
abi main tery bicharney ki baat kis sey karoun

Teri talab mein yeh beichaain ab bhi rehta hai
main apney dil k machalney ki baat kis sey karoun

Khaloos E Dil Kii Roshnaaii Ley Kar Ba-Deeda E Tar Hussain (R.A) Likhna


Khaloos E Dil Kii Roshnaaii Ley Kar Ba-Deeda E Tar Hussain (R.A) Likhna
Tum Aisa Karna Kitaab E Dil Kay Wraq Wraq Par Hussain (R.A) Likhna

Haroof Khusboo Kay Phool Ban Kar Tumharey Seenay Mein Khil Uthien Gey
Tum Aisa Karna K Apni Aankhon Pey Apney Lab Par Hussain (R.A) Likhna

Yeh Pair Sarey Yeh Sab Prinday Adab Sey Sajda Karien Gey Un Ko
Tum Aisa Karna K In Hawaaon Kii Jhaalron Par Hussain (R.A) Likhna

Tumharey Tareek Manzron Mein Ujaalien Phootien Gey Noor Ban Kar
Tum Aisa Karna K Apney Ghar Mein Darood Parh Kar Hussain (R.A) Likhna

Kasheed Kar Key Gulaab Ka Arq Fizza Mein Peham Chirakna Us Ko
Phir In Sunehrii Fizaaon Par Roshnii Ka Paikar Hussain (R.A)Likhna

Hussain (R.A) Parh Kar Phir Usko Likhna Phir Usko Likh Kar Tum Aisa Karna
K Aaj Tak Tum Nay Jo Bhi Likha Tum Us Ka Mehwar Hussain (R.A)Likhna

Azaan Dien Gii Tumhaari Aankhien Namaz Misray Adda Karien Gii
Tum Aisa Karna K Raah E Haq Mein Hussain (R.A) Parh Kar Hussain (R.A) Likhna

Wo Barchiyan Wo Chamaktey Khanjar Wo Taptey Sehra Pukaartey Hain
Tum Aisa Karna K Karbala Kay Badan Pey Ja Kar Hussain (R.A) Likhna

Agar Kitabat Ka Shoq Ho To Kitaab E Sabr O Raza Mein Mohsin
Jahaan Shaheedon Ka Naam Likhna To Sab Sey Uper Hussain (R.A) Likhna 

Jab dour ufaq pr lali ho, jab sham udasi wali ho

Jab dour ufaq pr lali ho
jab sham udasi wali ho
jab zabt ka bandan tuta ho
jab aas ka daman chuta ho
jab darshan pyas bujate houn
jab mosam geet sunate houn
jab kan houn tarse baton ko
jab nend na aaye raton ko
jab aankhoun mai jagraaty houn
jab apne dard statay houn
tab yaad bohat tum aaty ho
tab yaad bohat tum aaty ho

Yaadain jaag jati hain barishoun k mosam main

Yaadain jaag jati hain barishoun k mosam main
har ghari satati hai barisho k mosam main

shaam b kisi suratchain se nahi kat-ti
subhain b satati hai barisho k mosam main

zehn k jarokay mai jab koi sadaa ubhry
aankain bheeg jati hai barisho k mosam main

Kabhi ghum ki aag main jal uthe, kabhi dil ka dagh jala dia

Kabhi ghum ki aag main jal uthe kabhi dil ka dagh jala dia
ay janoon-e-ishq bata zara mujhe kyun tamasha bana

dia gham-e-ishq kitna ajeeb hai ye janoon se kitna qareeb hai
kabhi ashk palkon pay ruk gaye kabhi main ne darya baha dia

mera jazba-e-shoq to dekhiye meri bandgi hai wo bandgi
jahan tera naqsh-e-qadam mila wahin kaaba main ne bana dia

abi kar rehe ho tum ibteda mera keh raha hai ye tajruba
tumain zindagi ki hai arzu mujhe zindagi ne mita dia

Muqaddar k sitaron par, zamano k isharon par, udasi k kinaro par,

Muqaddar k sitaron par
zamano k isharon par
udasi k kinaro par
kabhi veeran shehron main
kabhi sunsan raston par
kabhi heran ankhoun main
kabhi bejain lamhoun par
tumhari yaad chupkay say
kabhi ser-goshi karti hay
yeh palkain bheeg jati hain
to aansoo toot girtay hain
hum palkon ko jhukatay hain

Bazahir muskuratay hain
faqat itna hi kehtay hain
mujhe kitna satatay ho
mujhe tum yaad aatay ho
mujhe kitna rulatay ho

Pathar bana diya mujhe rone nahin diya

Pathar bana diya mujhe rone nahin diya
daman bhi tere gham main bhigone nahin diya

tanhaiyan tumhara pata pochti rahin
shab bhar tumhari yaad ne sone nahin diya

dil ko tumhari yaad k aansoo aziz the
dunya ka koi gham samone nahin diya

nasir youn us ki yaad chali hath tham ker
mele main is jahan k khoune nahin diya

Phir kisi yaad nay raat bhar hay jagaya mujh ko

Phir kisi yaad nay raat bhar hay jagaya mujh ko
kiya saza di hay muhabbat nay khudaya mujh ko

din ko aaram hai na raat ko hay chain kabhi
janay kis khaak say kudrat nay banaya mujh ko

dukh to yeh hay k zamanay main milay ghair sabhi
jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

jab koi bhi na raha kandha mere ronay ko
ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

ab to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
phir charaghoun ki tarah kis nay jalaya mujh ko

bewafa zindagi nay jab chor diya hay tanha
maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko

woh diya houn jo muhabbat nay jalaya tha kabhi
gham ki andhi nay subah aur shaam bujhaya mujh ko

kaisay bhoolon ga tere saath guzare lamhay
yaad aata raha zulfoun ka hi saya mujh ko

Tum khafa kyun ho? Tumhen mujse gila kya hai?

Tum khafa kyun ho?
Tumhen mujse gila kya hai
Achanak berukhi itni
Batao to hua kya hai
Manaaun kis tarah tum ko
Mujhy itna to batla do
Agar ab ho saky tum se
To yeh ehsaan farma do

Meri manzil muhabbat hai
Mujhy manzil pe pohncha do
Tumhari aankh men aansu
Mujhy achy nhi lagty
Tumhary narm hounton pe
Gily achy nhi lagty

Tumhary muskurany se
Mera dil muskurata hai
Tumhary rooth jany se
Mera dil toot jata hai

Mere qaatil ko pukaro k main zinda houn abhi

Mere qaatil ko pukaro k main zinda houn abhi
phir say maqtal ko sanwaro k main zinda houn abhi

yeh shab-e-hijar to sathi hai meri barsoon say
jao so jao sitaro k main zinda houn abhi

yeh praishan say gaisu daikhay nahi jatay
apni zulfun ko sanwaro k main zinda houn abhi

abhi lakh moujoun main ghira hun dhoba to nahi
mujh ko sahil say pukaro k main zinda houn abhi

qabar say aaj bhi mohsin ki aati hai sada
tum kahan ho meray yaro k main zinda houn abhi

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do
meri doobti kashti ko kinara dy do

main dard k sahil pay tanha khara hun
phir aa k apni baahoun ka sahara day do

tera daaman to bhara hay sitaron say
mujhy sadqay may ik sitara day do

mery aangan my aaj andhera hai bohat
meri dehleez ko phir apna nazara dy do

chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas
main nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do

Sari duniya k riwajon se adawat ki thi

Sari duniya k riwajon se adawat ki thi
tum ko yaad hai jab maine ik hamaqat ki thi

usay razdan samajh kr btaya tha haal-e-dil apna
par us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi

jab kisi ki yaadun ne ankhun ko bhigoya tha meri
maine aik naam ki tasbeeh peh tilawat ki thi

woh mujhe chor gaya to main itna roye
meri ankhoun ne aansuo se shikayat ki thi

mere ujarnay ka sabab jb b kisi ne poucha
main ne bs itna bataya k muhabbat ki thi..

Raat phaili hai tere surmai aanchal ki trha

Raat phaili hai tere surmai aanchal ki trha
chand nikla hai tujhay dhoondny pagal ki trha

khushk patton ki tarah log uray jatay hain
shehr bhi ab to nazar aanay laga jungle ki tarah

phir khayalon main tere kurb ki khushbu jaagi
phir barasnay lagi anakahin meri badal ki trha

be-wafaoon say wafa kartay guzari zindagi
main barasta raha weeranay pe badal ki trha.

Ghar se yeh soch k nikla houn k mar jana hai

Ghar se yeh soch k nikla houn k mar jana hai
ab koi raah dikha de k kidhar jana hai

jisam se sath nibhane ki mat umeed rakho
is musafir ko to rastay mein theher jana hai

mout lamhay ki sada zindagi umron ki pukar
mein yehi soch k zinda houn k mar jana hai

nasha aesa tha k maikhanay ko duniya samjha
hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai

mere jazbay ki bari qadar hai logon mei magar
mere jazbay ko mere sath hi mar jana hai

Bharosa toot janay se zara pahlay bata dena

Bharosa toot janay se zara pahlay bata dena
mujhe tum azmanay se zara pahlay bata dena

kisi heelay bahanay se zara pahlay bata dena
mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata dena

zameen ki rait pe tum ne mohabbat se likhi thi
woh tahrerain mitanay se zara pahlay bata dena

mairay dilber k is dil per main rakh loon zabat ka pathar
suno daman churanay se zara pahlay bata dena

kisi bhi mor pe mohsin bura pao agar mujh ko
bharosa toot janay se zara pahlay bata dena..

Waqt ki gardish-e-ayam mein beh janay do

Waqt ki gardish-e-ayam mein beh janay do
zindagi jaisay guzarti hay guzar janay do

meray dil nay kabhi phoolon ki tamanna ki thi
aaj kanton hi ko daman say lipat janay do

roshni jag mein hay aur dil mein andhera mere
in andheron say bohat door nikal janay do

doston nay poocha kahan hen us k qasmen waday
main nein kaha chordo usay nai dunya basanay do

woh chaand tha woh chand hay usay chamaknay do falak pe
main khak tha main khak houn mujhay khaak mein mil janay do

Kabhi azeez thay hum jinko zindagi ki tarah

Kabhi azeez thay hum jinko zindagi ki tarah
abhi qareeb say guzray hen ajnabi ki tarah

khuda karay to gham e zeest say rahay mehfooz
k to hai gulshan e hasti mein kali ki tarah

hamen hi zabt ki talqeen kiun ho mehfil mein
hamen bhi izn e takallum milay sabhi ki tarah

hamaray dil mein ziaraiz hay kisi ki yaad kanwal
k phool mein khowabida chandni ki tarah

hamen mila hai qamar gham badal badal kar
kabhi basoorat e girya kabhi hansi ki tarah

Sheher mein teri paziraai na hony doun ga

Sheher mein teri paziraai na hony doun ga
to mera hai tujhay harjaai na hony doun ga

chup rahoun gi jo kahay ga koi tujh ko majno
is sy bar kar teri ruswaai na hony doun ga

yaad aaon gi tujhay achhay dinon ki soorat main
mukammal teri tanhaai na hony doun ga

janti houn k mera houna hai us say mashroot
apnay dushman ki main paspaai na hony doun ga

achhay lagtay hen qamar mujh ko parinday lekin
us ko unka bhi tamannaai na hony doun ga

Ye kiya k sab se bayaan dil ki haalaten krni

Ye kiya k sab se bayaan dil ki haalaten krni
faraz tujh ko na aain muhabbaten krni

ye qurb kya hai k tu saamane hai aur hamen
shumaar abhi se judaai ki sa`aten krni

koi khudaa ho k patthar jise bhi hum chaahen
tamaam umr usi ki ibaadaten krni

sab apane apanee qarine se muntazir us k
kisi ko shukr kisi ko shikaayaten krni

hum apne dil se hain majabuur aur logon ko
zaraa si baat pe barpaa qayaamaten krni

milen jab un se to mubaham si guftaguu karana
phir apane aap se so-so vazaahaten krni

ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain
hamin to raas na aain muhabbaten krni

kabhi `faraz` naye mausamon men ro denaa
kabhi talaash puraani raqaabaten krni.