Kahin be kinaar se ratjagey kahin zernigar se khwab de
Tera kya usool hai zindagi mujhey kaun iska hisaab de
Jo bichha sakun teray wastey jo saja sakein teray raastay
Meri dastaras mein sitarey rakhh meri muththiyon ko gulaab de
Yeh jo khwahishon ka parind hai issey mosamon se gharz nahin
Yeh urrey ga apni hi mauj mein issey aab de kay sarab de!
Tujhey chhu liya tou bharak uththey meray jsim o jaan mein charagh se
Issi aag mein mujhey raakh ker issi sholagii main shabaab de
Kabhi yuun bhi ho teray ru baru mein nazar mila ker yeh keh sakun
Meri hasraton ko shumar ker meri khwahishon ka hisaab de
Teri ik nigah kay faiz se meri kasht-e-harf chamak uththey
Mera lafz lafz ho kehkashan mujhey aik aesi kitaab de
No comments:
Post a Comment