Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Thursday, March 31, 2016

Chiragh Mangtay Rehnay Ka Kuch Sabab Bhi Nahin



Chiragh Mangtay Rehnay Ka Kuch Sabab Bhi Nahin
Andhaira Kesay Bitaien Kay Ab Tou Shab Bhi Nahin

Main Apnay Zom Main Aik Bazyaft Par Khush Hooun
Yeh Waqiya Hai Kay Mujh Ko Mila Woh Ab Bhi Nahin

Jo Meray Shair Main Mujh Say Zyada Bolta Hai
Main Us Ki Bazm Main Aik Hurf-E-Zer-E-Labb Bhi Nahin

Aur Ab To Zindagi Guzarnay Kay Sau Tareeqay Hain
Hum Us Kay Hijr Main Tanha Rahay Thay Jab Bhi Nahin

Kamal Shakhs Tha Jis Nay Mujhay Tabah Kiya
Khilaf Us Kay Yeh Dil Ho Saka Ab Bhi Nahin

Yeh Dastakien Yeh Meri Zindagi Ki Adhi Rat
Hawa Ka Shor Samajh Looun To Kuch Ajab Bhi Nahin

Yeh Dukh Nahi Kay Andhairoun Say Sulah Ki Ham Nay
Malal Yeh Hai Kay Ab Subah Ki Talab Bhi Nahin

Hisab-E-Dar Badri Tujh Say Mang Sakta Hai
Ghareeb-E-Shehar Magar Itna Bay Adab Bhi Nahin

Hamain Bohat Hai Yeh Sadat-E-Ishq Ki Nisbat
Kay Yeh Qabeela Koi Aisa Kam Nasab Bhi Nahin

No comments:

Post a Comment