Tumhen aisa kyon lagta hai
k hum khud dhoundte hain apne rishton ko,
suno janaan! Kabhi aisa nahi hota,
tumharay aur mere chahne se kuch nahi hota,
k sub rishte, sabhi bandhan kahin pehle se rakhe hain,
wo saare aane wale pal jo aakhir beet jaate hain,
jo hum se jeet jate hain,
wo sub pehle se rakhe hain,
samjh ker soch ker rakhe hain saare pal,
sabhi rishte, sabhi mousam...!
Mohabbat bhi to lamha hai, mohabbat bhi to mousam hai,
yeh kis k dil pe utray ga?
Kahan per kub khile ga? Kon si galion main mehke ga?
Na-jaane kon sa dil is k rangon main fana hoga?
Na-jaane kon sa dil is lamhe ko paate he
ghani tareek galion ki musafat se reha ho ga...?
Wazahat hum nahi kerte,
mohabbat hum nahi kerte,
k ye to jadugarni hai jo hum ko dhound leti hai,
humen pehchan leti hai,
kisi masroof kamre main parri bekaar cheezon se
ye hum ko chhaan leti hai,
kabhi jub zakhm khalta hai,
bason aur daftaron ki bheer main bhi
ye humare saath chalti hai,
lahu ki dhoop main chup chaap jalti hai...!
Ye hum main baandh deti hai naye mousam,
naye sooraj, naye taare aur khusboo,
ye hum ko sonp deti hai
koi aizaz jis ka maan rakhna farz hota hai,
ye hum per bojh banti hai,
ye hum per qarz hota hai,
ye chahat hum nahi kerte,
suno janaan! Mohabbat hum nahi kerte...!!!