Jhapat’ty paas aaty ho, humain acha nahi lagta
Bahanoun sey bulaty ho, humain acha nahi lagta
Humary dost, hum par fabtiyan kasty hain, jalty hain
Unhain phir tum jalaty ho, humain acha nahi lagta
Kahan tak sitarey gin-gin, uneendey khwab dekhain hum?
Wohi sapney dikhaty ho humain acha nahi lagta!
Musalsal fehristain hain karain gy yeh, karain gy wo
Bahut batain banaty ho, humain acha nahi lagta!
Tumharey sath jayen bazm mein? Touba! Na jayen gy
Barabar gul khilaty ho humain acha nahi lagta!
Tumharey sath rahty huy, rahty pas, phir bhi tum
Bahut nazdeek aaty ho humain acha nahi lagta!
Tumhara kya, khisak jaty ho gupshup aur batain ker?
Sab hi khilkhilaty hain humain acha nahi lagta!
Ary kya ho gaya hai? Kareyngy, jo kaho gy tum
Zara mein rooth jaty ho, humain acha nahi lagta!!
Chalo ab maan jao! Roothty hain hum bhi yah sach hai!
Chalawoun sey sataty ho humain acha nahi lagta!!
Tumhain jab hum manaty hain: chahak uthhty ho man hi man
Magar jab tum manaty ho humain acha nahi lagta!!
Babar yeh dil ki batyn hain, rahain dil mein to hain mouzoon;
Magar jab barhbarhaty ho humain acha nahi lagta!!
No comments:
Post a Comment