Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Wednesday, January 27, 2016

Kahan yah bus main kay hum khud ko hosla dety

Kahan yah bus main kay hum khud ko hosla dety
yahee bohat tha kay har ghum pay muskura 
dety

hawa ki door ulhajtee jo ungliyon say kabhi
hum asman pay tera nam tak saja 
dety

humaray aks main hotee jo zakhma a dil ke jhalak
hum ainay ko bhi apne tarah rula 
dety

humain bhi jo roshaniyon par jo dastras hotee
kabhi chirag jalatay kabhie bhuja 
dety

humaray paon hawaon ki zad main thy warna
guzartee umar ko ruk ruk kay hum sada 
dety

abb eski yad say eska badan tarashan hain
woh khwab bhi toh nahe tha kay hum bhola 
dety

yah ese wastay mohsin kahee hai taza ghazal
hum eske salgirah pay aur abb kya 
dety

No comments:

Post a Comment