Aye kuch abr kuch sharab aye
Us ke bad aye jo azab aaye
Bam-e-mina se mahatab utrey
Dast-e-saqi mein aftab aaye
Har rag-e-khuun mein phir chiraghan
Ho samane phir wo benaqab aaye
umr ke har waraq pe dil ko
nazar tere mehr-o-wafa ke bab aaye
kar raha tha ghum-e-jahan ka hisab
aj tum yad be-hisab aaye
na gayi tere gham ki sardari
dil mein youn roz inqalab aaye
jal uthe bazm-e-ghair kei dar-o-baam
jab bhi hum khanaa kharab aaye
is tarah apni khamoshi gungunaye
her simt se jawab aaye
faiz thi rah sar basar manzil
hum jahan pahunche kamayab aaye
No comments:
Post a Comment